hayat-e-rawan
ba-zāhir kahīñ koī halchal nahīñ hai
hayāt-e-ravāñ apne markaz se chimTī huī hai
bahut aam be-kār uljhe dinoñ kī
mulā.em sī gaThrī meñ rakkhī huī
ek be-nām sī dopahar hai
havā chal rahī hai
na jaane kahāñ
gahre bechain bādal ke TukḌe
uḌe jā rahe haiñ
pareshān saḌkoñ pe bahte hue zard patte
fazā meñ bikhartā huā kuchh ġhubār-e-musalsal
zarā pal do pal ko
bahut duur pattoñ pe hañstā huā
tez sūraj
magar phir chamaktī huī ik kiran par
jhapaTte hue gadle bādal
khule āsmāñ par Thaharte nahīñ haiñ
havā chaltī rahtī hai ruktī nahīñ hai
daraḳhtoñ pe shāḳheñ
idhar se udhar Doltī haiñ
idhar se udhar
merī chashm-e-tasavvur meñ uḌte hue chand TukḌe
lapakte jhapakte ḳhayālāt ke maile bādal
kahīñ sat.h-e-dil par Thaharte nahīñ haiñ
ba-zāhir jahāñ koī halchal nahīñ hai
magar ye ġhubār-e-musalsal uḌaa.e chalī jā rahī hai
havā chaltī rahtī hai ruktī nahīñ hai
hayāt-e-ravāñ apne markaz se chimTī huī hai
magar be-nām sī dopahar ke
sukūt-e-nihāñ meñ
ajab be-kalī hai
ba-zahir kahin koi halchal nahin hai
hayat-e-rawan apne markaz se chimTi hui hai
bahut aam be-kar uljhe dinon ki
mulaem si gaThri mein rakkhi hui
ek be-nam si dopahar hai
hawa chal rahi hai
na jaane kahan
gahre bechain baadal ke TukDe
uDe ja rahe hain
pareshan saDkon pe bahte hue zard patte
faza mein bikharta hua kuchh ghubar-e-musalsal
zara pal do pal ko
bahut dur patton pe hansta hua
tez suraj
magar phir chamakti hui ek kiran par
jhapaTte hue gadle baadal
khule aasman par Thaharte nahin hain
hawa chalti rahti hai rukti nahin hai
daraKHton pe shaKHen
idhar se udhar Dolti hain
idhar se udhar
meri chashm-e-tasawwur mein uDte hue chand TukDe
lapakte jhapakte KHayalat ke maile baadal
kahin sath-e-dil par Thaharte nahin hain
ba-zahir jahan koi halchal nahin hai
magar ye ghubar-e-musalsal uDae chali ja rahi hai
hawa chalti rahti hai rukti nahin hai
hayat-e-rawan apne markaz se chimTi hui hai
magar be-nam si dopahar ke
sukut-e-nihan mein
ajab be-kali hai
- Book : Khawab Ki Hatheli Per (Pg. 28)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.