hello best friend
maiñ bahut saada thā har baat ko saada samjhā
phuul ko phuul kahā taare ko taarā samjhā
dost ko baam kahā ḳhvāb ko ziina samjhā
maiñ ne tanhā.ī ko hī hukm ḳhudā kā samjhā
mujh ko kyā ilm thā iḳhlās kise kahte haiñ
kyā hai dariyā kā sukūñ pyaas kise kahte haiñ
mujh se ye pūchhte banvās kise kahte haiñ
rā.egāñ hone kā ehsās kise kahte haiñ
bad-tar-az-hijr miirī bazm-e-tarab hotī thī
ek bechainī sī har shaam ajab hotī thī
ye to ma.alūm nahīñ kis ke sabab hotī thī
phir bhī rah-rah ke zamāne kī talab hotī thī
vaqt badlā to mire naam kā taara niklā
jaise bachche kā koī lafz ho pahlā pahlā
jaise pyāsā koī aa kar lab-e-dariyā machlā
jaise kohsār ke goshe pe musāfir sañbhlā
aise tum aa.e ki sahrā pe ravānī aa.e
jaise siitā ke qarīñ raam nishānī aa.e
niiñd ke māroñ kī āñkhoñ meñ kahānī aa.e
sāloñ se tanhā paḌe uulā pe saanī aa.e
jāgtī āñkhoñ se kuchh ḳhvāb dikhā.e tum ne
rāh-e-ummīd pe sab naqsh banā.e tum ne
merī hastī ke ma.ānī bhī batā.e tum ne
qāfiye maiñ ne chune aur nibhā.e tum ne
tum musavvir kā fusūñ tum ho suḳhanvar kā kamāl
tum ḳhizāoñ se bahut duur bahāroñ kā ḳhayāl
tum ne dekhā hai masarrat kā safar ġham kā zavāl
tum ne hañstī huī āñkhoñ se bhī pūchhe haiñ savāl
jaise ik naav ho mujh tālib-e-sāhil ke liye
ḳhvāb kī sham.a kisī niiñd kī mahfil ke liye
hausla bhejā ho rab ne dil-e-buzdil ke liye
tum mohabbat se ziyāda ho mire dil ke liye
bāñjh dhartī ke kaleje pe uge misl-e-chaman
mujh se be-rang ko ḳhush-rang banāne meñ magan
sharmsārī ke añdhere meñ ra.ūnat kī kiran
ai mire dost mirī jaan mirī vaj.h-e-suḳhan
mere hone kī zamāne meñ vazāhat karnā
dil ke jazbāt kī duniyā se hifāzat karnā
vaise mushkil hai kisī par bhī ye nemat karnā
phir bhī mumkin ho to tā-umr mohabbat karnā
main bahut sada tha har baat ko sada samjha
phul ko phul kaha tare ko tara samjha
dost ko baam kaha KHwab ko zina samjha
main ne tanhai ko hi hukm KHuda ka samjha
mujh ko kya ilm tha iKHlas kise kahte hain
kya hai dariya ka sukun pyas kise kahte hain
mujh se ye puchhte banwas kise kahte hain
raegan hone ka ehsas kise kahte hain
bad-tar-az-hijr meri bazm-e-tarab hoti thi
ek bechaini si har sham ajab hoti thi
ye to malum nahin kis ke sabab hoti thi
phir bhi rah-rah ke zamane ki talab hoti thi
waqt badla to mere nam ka tara nikla
jaise bachche ka koi lafz ho pahla pahla
jaise pyasa koi aa kar lab-e-dariya machla
jaise kohsar ke goshe pe musafir sanbhla
aise tum aae ki sahra pe rawani aae
jaise sita ke qarin ram nishani aae
nind ke maron ki aankhon mein kahani aae
salon se tanha paDe ula pe sani aae
jagti aankhon se kuchh KHwab dikhae tum ne
rah-e-ummid pe sab naqsh banae tum ne
meri hasti ke maani bhi batae tum ne
qafiye main ne chune aur nibhae tum ne
tum musawwir ka fusun tum ho suKHanwar ka kamal
tum KHizaon se bahut dur bahaaron ka KHayal
tum ne dekha hai masarrat ka safar gham ka zawal
tum ne hansti hui aankhon se bhi puchhe hain sawal
jaise ek naw ho mujh talib-e-sahil ke liye
KHwab ki shama kisi nind ki mahfil ke liye
hausla bheja ho rab ne dil-e-buzdil ke liye
tum mohabbat se ziyaada ho mere dil ke liye
banjh dharti ke kaleje pe uge misl-e-chaman
mujh se be-rang ko KHush-rang banane mein magan
sharmsari ke andhere mein raunat ki kiran
ai mere dost meri jaan meri wajh-e-suKHan
mere hone ki zamane mein wazahat karna
dil ke jazbaat ki duniya se hifazat karna
waise mushkil hai kisi par bhi ye nemat karna
phir bhi mumkin ho to ta-umr mohabbat karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.