hercules aur paTe-KHan ki circus
ye be-hañgam be-Dhab duniyā
har mutanāsib soch ko
puujā ke prashād se farba kar detī hai
yā
tañgī kī chakkī se
vo ḳhurāk khilātī hai
soch kī āñkheñ dhañs jaatī haiñ
kaan laTak jaate haiñ
kisī siDaul ḳhayāl ko
mahbūba nahīñ miltī
hāsid bhūl-bhulayyāñ use
javāñ hone se pahle būḌhā kar detī haiñ
hercules aur pāTe-ḳhāñ kī
circus se bach kar
ḳhālis dānish ke raste par
jo guñg karne vaalā
sarkī rag phaTne se
rāhi-e-mulk-e-adam huā
bas ik sho.abada-bāz hai
jab vo haath kī ik jumbish se
batn-e-havvā se
sikka paidā kartā hai
to be-hangam be-Dhab duniyā
tāliyāñ pīTte pīTte
haath sujā letī hai
ye be-hangam be-Dhab duniya
har mutanasib soch ko
puja ke prashad se farba kar deti hai
ya
tangi ki chakki se
wo KHurak khilati hai
soch ki aankhen dhans jati hain
kan laTak jate hain
kisi siDaul KHayal ko
mahbuba nahin milti
hasid bhul-bhulayyan use
jawan hone se pahle buDha kar deti hain
hercules aur paTe-KHan ki
circus se bach kar
KHalis danish ke raste par
jo gung karne wala
sarki rag phaTne se
rahi-e-mulk-e-adam hua
bas ek shoabada-baz hai
jab wo hath ki ek jumbish se
batn-e-hawwa se
sikka paida karta hai
to be-hangam be-Dhab duniya
taliyan piTte piTte
hath suja leti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.