hero
merā baap merī zindagī kā hero hai
māyūsiyoñ se bhare dinoñ meñ
us kā ek ik lafz mere saath saath chaltā hai
yaad hai mujhe
kitnī udaas shāmoñ meñ sunā.ī ga.ī
us būḌhe māhī-gīr kī
samundar meñ jaarī jañg kī dāstāñ
būḌhā aur samundar
aur phir haar jaane par
ka.ī baar ye alfāz
merī ruuh meñ utarte rahe
tabāhī to muqaddar hai magar hārtā hai kaun yahāñ
shikast to aatī rahegī
dastakeñ detī rahegī
jaise maut aatī thī amalī ke dar pe aur
kah diyā jaatā thā us ko
jaao vaqt nahīñ hai mere paas jo tumhāre saath ho luuñ
shikast ko bhī kah do bas
ruktā hai ab kaun yahāñ tumhāre vāste
merā baap merī zindagī kā hero hai
aur hero banñe ke liye
zarūrī hai ki guzrā jaa.e
alamiya se baar baar
mera bap meri zindagi ka hero hai
mayusiyon se bhare dinon mein
us ka ek ek lafz mere sath sath chalta hai
yaad hai mujhe
kitni udas shamon mein sunai gai
us buDhe mahi-gir ki
samundar mein jari jang ki dastan
buDha aur samundar
aur phir haar jaane par
kai bar ye alfaz
meri ruh mein utarte rahe
tabahi to muqaddar hai magar haarta hai kaun yahan
shikast to aati rahegi
dastaken deti rahegi
jaise maut aati thi amali ke dar pe aur
kah diya jata tha us ko
jao waqt nahin hai mere pas jo tumhaare sath ho lun
shikast ko bhi kah do bas
rukta hai ab kaun yahan tumhaare waste
mera bap meri zindagi ka hero hai
aur hero banne ke liye
zaruri hai ki guzra jae
alamiya se bar bar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.