hichki
tumheñ ye ġham hai ki ab chiTThiyāñ nahīñ ātīñ
hamārī socho hameñ hichkiyāñ nahīñ ātīñ
charāġh sharmā
kabhī bhī kyā sochā hai ye tum ne
ki jo hai lahroñ kā yuuñ machalnā
nadī kā sāgar kī samt chalnā
daraḳht kā biij se nikalnā
har ek pal vaqt kā badalnā
ye roz din raat kā guzarnā
na ek mausam kā bhī Thaharnā
ujāle dauḌe jo jā rahe haiñ
kahīñ añdhere miTā rahe haiñ
jo sāloñ sāloñ lage hue haiñ
safar meñ ab tak DaTe hue haiñ
sitāroñ sayyāroñ sab kī gardish
unheñ samajhne kī apnī ḳhvāhish
diloñ ke dhaḌkan kī ibtidā bhī
tamām manzar kī intihā bhī
ye silsila saarā
sab tasalsul meñ hai jo
har kuchh
kisī kī hichkī kā hai natīja
ki yaad kartā ho koī biite zamāne ko
kā.enāt-bhar meñ
ki jab nahīñ thā kuchh
us se pahle
jo thā vo kyā thā
vo kaisā thā
kyā vo aisā thā
jaisā hai abhī sab
ik 'arse se mujh ko hichkī aa.ī nahīñ hai
tum to rahe mujhe yaad karne se
ā.īne ko taktā huuñ roz
ḳhud ko hī yaad aa jā.ūñ maiñ kabhī to
aur ek hichkī nikal paḌe phir
tumhein ye gham hai ki ab chiTThiyan nahin aatin
hamari socho hamein hichkiyan nahin aatin
charagh sharma
kabhi bhi kya socha hai ye tum ne
ki jo hai lahron ka yun machalna
nadi ka sagar ki samt chalna
daraKHt ka bij se nikalna
har ek pal waqt ka badalna
ye roz din raat ka guzarna
na ek mausam ka bhi Thaharna
ujale dauDe jo ja rahe hain
kahin andhere miTa rahe hain
jo salon salon lage hue hain
safar mein ab tak DaTe hue hain
sitaron sayyaron sab ki gardish
unhen samajhne ki apni KHwahish
dilon ke dhaDkan ki ibtida bhi
tamam manzar ki intiha bhi
ye silsila sara
sab tasalsul mein hai jo
har kuchh
kisi ki hichki ka hai natija
ki yaad karta ho koi bite zamane ko
kaenat-bhar mein
ki jab nahin tha kuchh
us se pahle
jo tha wo kya tha
wo kaisa tha
kya wo aisa tha
jaisa hai abhi sab
ek 'arse se mujh ko hichki aai nahin hai
tum to rahe mujhe yaad karne se
aaine ko takta hun roz
KHud ko hi yaad aa jaun main kabhi to
aur ek hichki nikal paDe phir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.