hifz-e-ma-taqaddam
kahā ik bheḌ ne kuchh memanoñ se
mire pyāro hamesha saath revaḌ ke raho
tumhāre daa.eñ baa.eñ aage pīchhe koī ho
jo Dhaal kī sūrat muhāfiz ho
charāgāhoñ se bāhar
jagmagāte rāste tum ko bulā.eñge
chamaktī lahlahātī ḳhasta hariyālī lubhā.egī
tumhāre dil ko khīñchegī
tum apne paañv apne haath meñ rakhnā
na hone ko na ho kuchh bhī
magar hone ko ho saktā hai kuchh bhī
suno aise kisī anjān raste par
kisī be-dhyān lamhe meñ
achānak bheḌiye hamla jo kar deñ
dil-e-dahshat-zada meñ ek dahlātī huī ḳhvāhish
ba-sad-hasrat umaDtī hai
ragoñ meñ sansanātī hai
ye kahtī hai ki haa.e
kaash un kuttoñ kī sun lete
jo din bhar bhauñkte the
kaha ek bheD ne kuchh memanon se
mere pyaro hamesha sath rewaD ke raho
tumhaare daen baen aage pichhe koi ho
jo Dhaal ki surat muhafiz ho
charagahon se bahar
jagmagate raste tum ko bulaenge
chamakti lahlahati KHasta hariyali lubhaegi
tumhaare dil ko khinchegi
tum apne panw apne hath mein rakhna
na hone ko na ho kuchh bhi
magar hone ko ho sakta hai kuchh bhi
suno aise kisi anjaan raste par
kisi be-dhyan lamhe mein
achanak bheDiye hamla jo kar den
dil-e-dahshat-zada mein ek dahlati hui KHwahish
ba-sad-hasrat umaDti hai
ragon mein sansanati hai
ye kahti hai ki hae
kash un kutton ki sun lete
jo din bhar bhaunkte the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.