hijr
ik muhīb sannāTā
hijr kā ghanā jañgal
jis ke sab daraḳhtoñ par
vahshatoñ kā pairāhan
pairahan se lipTī hai
nā-umīdiyoñ kī bel
bel kā har ik pattā
apne dāman-e-dil meñ
hijr kā ghanā jañgal
ek muhib sannaTa
hijr ka ghana jangal
jis ke sab daraKHton par
wahshaton ka pairahan
pairahan se lipTi hai
na-umidiyon ki bel
bel ka har ek patta
apne daman-e-dil mein
hijr ka ghana jangal
- Book : Ishq ki taqveem me.n (Pg. 63)
- Author : HARIS KHALEEQ
- Publication : Hoori Nurani, Maktaba Daniyal, Victoria Chaimber 2 (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.