hijr-kada
maiñ ne kamre kī khūñTī par
terā intizār Taañg diyā hai
aur merī be-qarār āñkheñ
kamre kī chaukhaT par dharī haiñ
tere firāq ke siyāh lamhoñ kī
bāteñ kartī merī saarī nazmeñ
kamre kī dīvāroñ par chaspāñ haiñ
merī aatī jaatī sāñseñ
ghaḌī kī sūiyoñ se bañdhī haiñ
aur tumhāre amrit-ras Tapkāte jumle
mere dhyān kā pallū pakḌe chup baiThe haiñ
tere lams kī ḳhvāhish mere hāthoñ
kī poroñ se nikal kar
kamre meñ chakrātī phirtī hai
tere lauT aane kā rasta taktā
har ik manzar hijr-zada hai
aur tumhāre lauT aane tak
mere chāroñ jānib phailā hijr-kada hai
main ne kamre ki khunTi par
tera intizar Tang diya hai
aur meri be-qarar aankhen
kamre ki chaukhaT par dhari hain
tere firaq ke siyah lamhon ki
baaten karti meri sari nazmen
kamre ki diwaron par chaspan hain
meri aati jati sansen
ghaDi ki suiyon se bandhi hain
aur tumhaare amrit-ras Tapkate jumle
mere dhyan ka pallu pakDe chup baiThe hain
tere lams ki KHwahish mere hathon
ki poron se nikal kar
kamre mein chakraati phirti hai
tere lauT aane ka rasta takta
har ek manzar hijr-zada hai
aur tumhaare lauT aane tak
mere chaaron jaanib phaila hijr-kada hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.