hijr ki raaten
hijr kī rāteñ kaalī kaalī
is par yaad kisī kī jaarī
aise gahre sannāTe meñ
kis se kaheñ ham ġham kī kahānī
duniyā saarī sotī hai
taare ginnā bechainī meñ
aaheñ bharnā betābī meñ
aah hamārī sone vaalo
is hālat meñ lāchārī meñ
raat basar yuuñ hotī hai
kushta-e-ġham kī ab turbat par
hasrat rotī hai hasrat par
ek udāsī kā aalam hai
sone vaale kī qismat par
sham-e-bālīñ rotī hai
jis meñ hasrat kī bastī hai
jis kī bulandī har pastī hai
ya.anī jis ko dil kahte haiñ
jis par sab duniyā hañstī hai
ek anokhā motī hai
charḳh ne bedardī be-rahmī
sach to yahī hai us se sīkhī
aao 'ālim' kuchh to batāo
sab kuchh hai par yaas kisī kī
yaad bhalā kyuuñ khotī hai
hijr ki raaten kali kali
is par yaad kisi ki jari
aise gahre sannaTe mein
kis se kahen hum gham ki kahani
duniya sari soti hai
tare ginna bechaini mein
aahen bharna betabi mein
aah hamari sone walo
is haalat mein lachaari mein
raat basar yun hoti hai
kushta-e-gham ki ab turbat par
hasrat roti hai hasrat par
ek udasi ka aalam hai
sone wale ki qismat par
sham-e-baalin roti hai
jis mein hasrat ki basti hai
jis ki bulandi har pasti hai
yani jis ko dil kahte hain
jis par sab duniya hansti hai
ek anokha moti hai
charKH ne bedardi be-rahmi
sach to yahi hai us se sikhi
aao 'alim' kuchh to batao
sab kuchh hai par yas kisi ki
yaad bhala kyun khoti hai
- Book : Intekhab-e-Kuliyat Aalim Lucknowi (Pg. 359)
- Author : Mirza Mohammad Yousuf
- Publication : M. R. Publication (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.