hijr nagri
tirī maujūdgī maujūd hai to phir
yahāñ sab kuchh
mujhe phīkā fanā jaisā
sukūt-e-marg jaisā lag rahā hai kyoñ
na duniyā hai na shor-o-ġhul
na hangāme
na dil ko khīñchte maile jhamele haiñ
na logoñ ke tamāshe haiñ na āñkhoñ meñ koī raunaq
na sāñsoñ meñ harārat hai
na hāthoñ meñ qalam mere
na hī takiye tale ġhazleñ na hī nazmeñ
na zulfoñ ko sañvarnā aa rahā hai aur na ab eyebrow
meñ haiñ dhanak qauseñ na mascare se palkoñ ko shab kī syāhī dī
na surme se banā.ī tuur sī āñkheñ
na ab saaḌī pahantī huuñ
na ab paTiyāla shalvāreñ na kurte aur na chūḌī-dār pājāme
na nāḳhun nail-polish se banātī huuñ sitāre maiñ
na 'ātif' kā koī gaanā sunā hai aur na 'rāhat' kī qavvālī hī
ajab bezār se din-rāt haiñ mere
na bādal haiñ na bārish hai
na jugnū haiñ parinde haiñ
yūñhī be-vaqt rotī huuñ
damā-dam bas
aḌhā.ī tiin tak maiñ raat ke sotī huuñ āḳhir ye
huā kyā hai mujhe 'sādī'
ye kyā vīrānagī hai sāmne mere
mirā kamra hai yā sahrā
mirī āñkheñ haiñ yā dariyā
huā kyā hai khule kuchh to
baḌī ma.asūm laḌkī huuñ
mujhe kab yaad hai maiñ huuñ muqayyad kuchh dinoñ se
hijr nagrī meñ
teri maujudgi maujud hai to phir
yahan sab kuchh
mujhe phika fana jaisa
sukut-e-marg jaisa lag raha hai kyon
na duniya hai na shor-o-ghul
na hangame
na dil ko khinchte maile jhamele hain
na logon ke tamashe hain na aankhon mein koi raunaq
na sanson mein hararat hai
na hathon mein qalam mere
na hi takiye tale ghazlen na hi nazmen
na zulfon ko sanwarna aa raha hai aur na ab eyebrow
mein hain dhanak qausen na mascare se palkon ko shab ki syahi di
na surme se banai tur si aankhen
na ab saDi pahanti hun
na ab paTiyala shalwaren na kurte aur na chuDi-dar pajame
na naKHun nail-polish se banati hun sitare main
na 'atif' ka koi gana suna hai aur na 'rahat' ki qawwali hi
ajab bezar se din-raat hain mere
na baadal hain na barish hai
na jugnu hain parinde hain
yunhi be-waqt roti hun
dama-dam bas
aDhai tin tak main raat ke soti hun aaKHir ye
hua kya hai mujhe 'sadi'
ye kya viranagi hai samne mere
mera kamra hai ya sahra
meri aankhen hain ya dariya
hua kya hai khule kuchh to
baDi masum laDki hun
mujhe kab yaad hai main hun muqayyad kuchh dinon se
hijr nagri mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.