hijr o visal
ḳhud apne dil kā ḳhuun fazā meñ uchhāl ke
mazmūñ likhe haiñ ham ne firāq o visāl ke
kuchh sānehoñ kī yaad hai unvān-e-roz-o-shab
kuchh hādse haiñ nok-e-zabāñ maah o saal ke
ik nā-tamām dard sharīk-e-chaman rahā
shāḳhoñ pe koñpaloñ kī naqābeñ ujaal ke
sehn-e-haram se anjuman-e-mai-farosh tak
do-gām fāsla hai zarā dekh-bhāl ke
pachhtā rahe haiñ naġhma-sarāyān-e-fasl-e-gul
bazm-e-chaman se sarv-o-saman ko nikāl ke
ham ne kiyā hai gardish-e-daurāñ ko pā.emāl
ham ne sahe haiñ zaḳhm zamāne kī chaal ke
'shorish' zamāna ham se muāfiq na ho sakā
ham log haiñ chaman meñ purāne ḳhayāl ke
KHud apne dil ka KHun faza mein uchhaal ke
mazmun likhe hain hum ne firaq o visal ke
kuchh sanehon ki yaad hai unwan-e-roz-o-shab
kuchh hadse hain nok-e-zaban mah o sal ke
ek na-tamam dard sharik-e-chaman raha
shaKHon pe konpalon ki naqaben ujal ke
sehn-e-haram se anjuman-e-mai-farosh tak
do-gam fasla hai zara dekh-bhaal ke
pachhta rahe hain naghma-sarayan-e-fasl-e-gul
bazm-e-chaman se sarw-o-saman ko nikal ke
hum ne kiya hai gardish-e-dauran ko paemal
hum ne sahe hain zaKHm zamane ki chaal ke
'shorish' zamana hum se muafiq na ho saka
hum log hain chaman mein purane KHayal ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.