hijrat
bahut dinoñ se mujhe intizār hai lekin
tumhāre shahr se koī yahāñ nahīñ aayā
maiñ sochtā huuñ to bas ye ki ab tumhārī shakl
guzarte vaqt ke hāthoñ badal ga.ī hogī
ḳhamīda zulfoñ kī kaalī ghaTā meñ ab shāyad
safed bāloñ kī ta.adād baḌh ga.ī ho gī
tumhāre gaal pe jo ek til chamaktā thā
pata nahīñ vo chamak is meñ ab bhī baaqī hai
tumhārī āñkhoñ meñ ik chāñdnī sī raushan thī
pata nahīñ vo damak is meñ ab bhī baaqī hai
tumhārī bātoñ meñ phūloñ kī sī mahak thī jo
pata nahīñ vo mahak ab bhī sunñe vaale ko
mashām-e-jāñ meñ utar kar nihāl kartī hai
tumhāre māthe pe jo ek chāñd raushan thā
mujhe gumān hai vo chāñd bujh gayā hogā
maiñ sochtā huuñ to bas is qadar ki ab tum ne
purāne qisse ko dil se bhulā diyā hogā
yaqīñ mujhe bhī hai ab mil na pā.eñge ham tum
magar ye rishta-e-dil kas tarah se toḌā jaa.e
fasāna jo ki mukammal na ho sakā us ko
kahāñ pe ḳhatm kiyā jaa.e kaise moḌā jaa.e
bahut dinoñ se mujhe intizār hai lekin
tumhāre shahr se koī yahāñ nahīñ aayā
bahut dinon se mujhe intizar hai lekin
tumhaare shahr se koi yahan nahin aaya
main sochta hun to bas ye ki ab tumhaari shakl
guzarte waqt ke hathon badal gai hogi
KHamida zulfon ki kali ghaTa mein ab shayad
safed baalon ki tadad baDh gai ho gi
tumhaare gal pe jo ek til chamakta tha
pata nahin wo chamak is mein ab bhi baqi hai
tumhaari aankhon mein ek chandni si raushan thi
pata nahin wo damak is mein ab bhi baqi hai
tumhaari baaton mein phulon ki si mahak thi jo
pata nahin wo mahak ab bhi sunne wale ko
masham-e-jaan mein utar kar nihaal karti hai
tumhaare mathe pe jo ek chand raushan tha
mujhe guman hai wo chand bujh gaya hoga
main sochta hun to bas is qadar ki ab tum ne
purane qisse ko dil se bhula diya hoga
yaqin mujhe bhi hai ab mil na paenge hum tum
magar ye rishta-e-dil kas tarah se toDa jae
fasana jo ki mukammal na ho saka us ko
kahan pe KHatm kiya jae kaise moDa jae
bahut dinon se mujhe intizar hai lekin
tumhaare shahr se koi yahan nahin aaya
- Book : Khla Ki Dhund Men Ham Chal Rahe Hain (Pg. 90)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.