hijrat ki nazm
palak ke jhapakte ka.ī saal biite
maiñ vāpas jo lauTī to maiñ ne ye dekhā
mire ghar kī har chhat Tapakne lagī thī
dar-o-bām kā rang maddham paḌā thā
vo āñgan ki jis meñ mahaktī thī champā
us āñgan kā har phuul murjhā gayā thā
faqat ek bargad ki tanhā khaḌā thā
vo tanhā thā aur jaane kyā sochtā thā
ḳhizāoñ ne har-sū baserā kiyā thā
yahī vo jagah thī jahāñ merā bachpan
ka.ī mehrbāñ narm hāthoñ meñ guzrā
yahīñ par mirī tund-ḳhū dhaḌkanoñ ne
na.e mausamoñ kī bashārat sunī thī
mirī saarī sub.heñ mirī saarī shāmeñ
is āñgan kī uḌtī huī titliyāñ thiiñ
magar ek din aisī saa.at bhī aa.ī
mirā ghar faqat chaar lafzoñ kī andhī aqīdat ke aage
aap hī aap chup-chāp ho kar
sabhī rābtoñ se sabhī vāstoñ se alag ho gayā thā
bayāz-e-nazar ke vo mauhūm nuqte
bhī phail ke dā.ere ban chuke haiñ
na.ī zindagī meñ
purāne dinoñ kī
haqīqat faqat kāñch kī TūTtī chūḌiyāñ rah ga.ī hai
ki jin ko tashaḳhḳhus kī hājat nahīñ hai
palak ke jhapakte kai sal bite
main wapas jo lauTi to main ne ye dekha
mere ghar ki har chhat Tapakne lagi thi
dar-o-baam ka rang maddham paDa tha
wo aangan ki jis mein mahakti thi champa
us aangan ka har phul murjha gaya tha
faqat ek bargad ki tanha khaDa tha
wo tanha tha aur jaane kya sochta tha
KHizaon ne har-su basera kiya tha
yahi wo jagah thi jahan mera bachpan
kai mehrban narm hathon mein guzra
yahin par meri tund-KHu dhaDkanon ne
nae mausamon ki bashaarat suni thi
meri sari subhen meri sari shamen
is aangan ki uDti hui titliyan thin
magar ek din aisi saat bhi aai
mera ghar faqat chaar lafzon ki andhi aqidat ke aage
aap hi aap chup-chap ho kar
sabhi rabton se sabhi waston se alag ho gaya tha
bayaz-e-nazar ke wo mauhum nuqte
bhi phail ke daere ban chuke hain
nai zindagi mein
purane dinon ki
haqiqat faqat kanch ki TuTti chuDiyan rah gai hai
ki jin ko tashaKHKHus ki hajat nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.