hijrat ki salib
nadāmat kī kaḌī dhuup meñ nahā.e hue
ziist ke is kaḌe kos paḌāv meñ
jahāñ sīpiyāñ raushnī ke duḳhūl ke liye darīche kholā nahīñ kartīñ sochtā huuñ
is bharī duniyā meñ tanhā khaḌā
ḳhākistar hasratoñ kī uñglī thāme kumhlā.e hue
armāñ yuuñ bhī nikal sakte the motiyoñ kī chamak-damak kī chaah meñ dar-ba-dar phire baġhair
rishtoñ ke tāne-bāne toḌ kar
za.īf-o-nazār maañ baap kī muntazir āñkhoñ ko pīchhe chhoḌ ke
maiñ ne is baḌe shahr ke chakāchaund ke pīchhe bhāgte bhāgte
kyā khoyā hai kyā paayā hai
sauñdhī miTTī kī mahak taaza gandum kī ḳhushbū kueñ kā ThanDā paanī
mamtā kā āñchal māñ-jā.iyoñ kā pyaar bhā.iyoñ kī ro.ab jamāne vaalī maar
kitnā tarsātī haiñ mujhe aaj
kis qadar ghabrātā thā maiñ ḳhūbāñ se nazar milāte hue
aaj aḌ jaatā huuñ maiñ
sharm aatī nahīñ mujhe apne gunāh chhupāte hue
un sab kā mujrim huuñ maiñ
apne zamīr ke kaTghare meñ khaḌā huuñ apnī hī ruuh ko muqayyad kiye
hijrat kī salīb apne nā-tavāñ kandhoñ par uThā.e
kīleñ saath rakhtā huuñ maiñ
koī hai jo aa kar mujhe suulī par chaḌhā.e
nadamat ki kaDi dhup mein nahae hue
zist ke is kaDe kos paDaw mein
jahan sipiyan raushni ke duKHul ke liye dariche khola nahin kartin sochta hun
is bhari duniya mein tanha khaDa
KHakistar hasraton ki ungli thame kumhlae hue
arman yun bhi nikal sakte the motiyon ki chamak-damak ki chah mein dar-ba-dar phire baghair
rishton ke tane-bane toD kar
zaif-o-nazar man bap ki muntazir aankhon ko pichhe chhoD ke
main ne is baDe shahr ke chakachaund ke pichhe bhagte bhagte
kya khoya hai kya paya hai
saundhi miTTi ki mahak taza gandum ki KHushbu kuen ka ThanDa pani
mamta ka aanchal man-jaiyon ka pyar bhaiyon ki roab jamane wali mar
kitna tarsati hain mujhe aaj
kis qadar ghabraata tha main KHuban se nazar milate hue
aaj aD jata hun main
sharm aati nahin mujhe apne gunah chhupate hue
un sab ka mujrim hun main
apne zamir ke kaTghare mein khaDa hun apni hi ruh ko muqayyad kiye
hijrat ki salib apne na-tawan kandhon par uThae
kilen sath rakhta hun main
koi hai jo aa kar mujhe suli par chaDhae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.