hijrat
na pūchh mujh se
ki jañg, lashkar,
sisakte patthar,
fazā ke aañsū
havā ke tevar
ye rā.egānī
bikharte mehvar
ye saare kyuuñ kar?
ki rafta rafta,
maiñ saḳht jaanī kī Dāliyoñ se lachak paḌā huuñ
guzar chukā huuñ maiñ har kahānī kī had se bāhar
paḌā huā huuñ maiñ apne ma.ānī kī had ke bāhar!!
na puchh mujh se
ki jang, lashkar,
sisakte patthar,
faza ke aansu
hawa ke tewar
ye raegani
bikharte mehwar
ye sare kyun kar?
ki rafta rafta,
main saKHt jaani ki Daliyon se lachak paDa hun
guzar chuka hun main har kahani ki had se bahar
paDa hua hun main apne maani ki had ke bahar!!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.