hijrat
zarūrī kāġhazoñ kī filoñ se
be-zarūrī
kāġhazoñ ko
chhāñTā jaatā hai
kabhī kuchh pheñkā jaatā hai
kabhī kuchh bāñTā jaatā hai
ka.ī barsoñ ke rishtoñ ko
paloñ meñ
kaaTā jaatā hai
vo shīsha ho
ki patthar ho
binā dum kā vo bandar ho
nishānoñ se bharā
yā koī bosīda calendar ho
purāne ghar ke tāqoñ meñ
machānoñ meñ
vo sab!!
chhoTā huā apnā
kabhī ban kar koī aañsū
kabhī ban kar koī sapnā
achānak
jagmagātā hai
vo sab khoyā huā
apne na hone se satātā hai
makānoñ ke badalne se
na.e ḳhānoñ meñ Dhalne se
bahut kuchh TuuT jaatā hai
bahut kuchh chhūT jaatā hai
zaruri kaghazon ki filon se
be-zaruri
kaghazon ko
chhanTa jata hai
kabhi kuchh phenka jata hai
kabhi kuchh banTa jata hai
kai barson ke rishton ko
palon mein
kaTa jata hai
wo shisha ho
ki patthar ho
bina dum ka wo bandar ho
nishanon se bhara
ya koi bosida calendar ho
purane ghar ke taqon mein
machanon mein
wo sab!!
chhoTa hua apna
kabhi ban kar koi aansu
kabhi ban kar koi sapna
achanak
jagmagata hai
wo sab khoya hua
apne na hone se satata hai
makanon ke badalne se
nae KHanon mein Dhalne se
bahut kuchh TuT jata hai
bahut kuchh chhuT jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.