hikayat-e-shab
chunāñche sar-e-shām ham sab kisī ḳhāndān-e-farañgī se bahr-e-mulāqāt nikle
yahāñ merā ''ham sab'' se matlab hai vo dūsre ham-vatan aur paḌosī ki jo mulk-e-afrañg kī is baḌī
jāmia meñ husūl-e-zar-e-ilm-o-dānish ko aa.e hue the
''kisī'' se ye matlab hai ham ko ḳhabar tak nahīñ thī ki ham sab kahāñ jā rahe haiñ
kahāñ kis ko kis shaḳhs kī mezbānī milegī
bahar-hāl ye tā.ifa ajnabī mehmānoñ kā ik darmiyāne se ghar mezbānoñ hī kī rahnumā.ī meñ pahuñchā
vahāñ ham se pahle bhī kuchh log maujūd the
rivāyāt-e-begānagī farañgī meñ basta
tanāboñ meñ barfīle ThiThure hue yaḳh-zada mausamoñ meñ muqayyad
magar jin ke chehroñ pe un kī ma.īshat ke rasmī shagūfe khile the
ta.āruf kī ik muḳhtasar tez ThanDī sī gardān
so āḳhirī naam ke āḳhirī harf kī Dūbtī chand lahreñ
so āḳhirī haath ke khurdure chand reze
mire hāfize meñ to kuchh bhī nahīñ rah gayā thā
chunāñche ta.āruf ke sañgīn farshoñ ko ik baar phir se kuredā to dekhā
sat.h saḳht thī aur nāḳhun baḌe narm the
is asnā meñ ik ḳhānam mezbān donoñ hāthoñ meñ sainī uThā.e
nabīd-e-musaffā o gul-rañg ke kuchh bilorīñ piyāle sajā.e
ba-sad-nāz-o-andāz aa.iiñ
abhī is nabīd-e-musaffā ke do chaar chakkar hue the
ki bosīda rasmoñ kī ūñchī fasleñ
ta.assub ke tārīk zindāñ
takalluf kī chiknī muñDereñ
tasanno kī pur-ḳhār bāḌheñ
sarāsar ye sab gir ga.iiñ aur ajnabī ham-vatan ban ga.e
chunanche sar-e-sham hum sab kisi KHandan-e-farangi se bahr-e-mulaqat nikle
yahan mera ham sab se matlab hai wo dusre ham-watan aur paDosi ki jo mulk-e-afrang ki is baDi
jamia mein husul-e-zar-e-ilm-o-danish ko aae hue the
kisi se ye matlab hai hum ko KHabar tak nahin thi ki hum sab kahan ja rahe hain
kahan kis ko kis shaKHs ki mezbani milegi
bahar-haal ye taifa ajnabi mehmanon ka ek darmiyane se ghar mezbanon hi ki rahnumai mein pahuncha
wahan hum se pahle bhi kuchh log maujud the
riwayat-e-beganagi farangi mein basta
tanabon mein barfile ThiThure hue yaKH-zada mausamon mein muqayyad
magar jin ke chehron pe un ki maishat ke rasmi shagufe khile the
taaruf ki ek muKHtasar tez ThanDi si gardan
so aaKHiri nam ke aaKHiri harf ki Dubti chand lahren
so aaKHiri hath ke khurdure chand reze
mere hafize mein to kuchh bhi nahin rah gaya tha
chunanche taaruf ke sangin farshon ko ek bar phir se kureda to dekha
sath saKHt thi aur naKHun baDe narm the
is asna mein ek KHanam mezban donon hathon mein saini uThae
nabid-e-musaffa o gul-rang ke kuchh bilorin piyale sajae
ba-sad-naz-o-andaz aain
abhi is nabid-e-musaffa ke do chaar chakkar hue the
ki bosida rasmon ki unchi faslen
tassub ke tarik zindan
takalluf ki chikni munDeren
tasanno ki pur-KHar baDhen
sarasar ye sab gir gain aur ajnabi ham-watan ban gae
- Book : naquush (Pg. 245)
- Edition : 1979
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.