hikmat ka but-KHana
sharāb-e-shor se labrez hai duniyā kā paimāna
harīf-e-dīn-o-dānish hai mazāq-e-pīr-e-mai-ḳhāna
bashar iblīs ko tazvīr-e-nau kā dars detā hai
muzayyan hai gunāh-e-gūnāgūñ se har parī-ḳhāna
ulūm-e-nau se raushan bazm hai tahzīb-e-hāzir kī
yad-e-tajdīd ne Dhālā hai dil-āvez but-ḳhāna
ye maanā maġhribī ta.alīm ne parvāz baḳhshī hai
ye māh-o-ḳhur bhī ban jā.eñge ab qindīl kā shāna
ḳhudā ke chāhne vaale abhī tak bhole-bhāle haiñ
banā rakhā hai harz-e-jāñ sadā maazī kā afsāna
gunāh-e-tāza kī taḳhlīq se iblīs qāsir hai
dimāġh-e-fitna-jū par hai musallat zo.f-e-pīrāna
bahut majbūr be-chāra hai ḳhud pīrāna-sālī se
use ma.alūm kyā hai ma.asiyat kā taaza paimāna
ḳhudā vaale ta.ajjub hai ki ma.asūm-o-muqaddas haiñ
azāb-e-nau-ba-nau se hai murassā ā.ina-ḳhāna
rah-e-tashkīk par raḳhsh-e-hunar paiham ḳhirāmāñ hai
bahut mushkil hai fitrat kā abhī tasḳhīr farmānā
musāvāt-e-nazar kā muddatoñ se shor suntā huuñ
fazā duniyā kī hai lekin abhī tak firqā-vārāna
havas kā dars to yaaro bahut hī ḳhuub hai lekin
abhī qur.ān kī tafhīm se aajiz hai farzāna
butoñ kā toḌnā thā kār-e-āsāñ ahd-e-māzī meñ
vale mushkil hai Dhānā aaj kī hikmat kā but-ḳhāna
qulūb-e-asr-e-hāzir meñ abhī īmān Dhal jaa.e
faqīroñ kā nahīñ dekhā hai ejāz-e-kalīmāna
tafāḳhur ke marīzoñ ke liye iksīr hotī hai
sarāsar banda-e-'bebāk' kī tarz-e-faqīrāna
sharab-e-shor se labrez hai duniya ka paimana
harif-e-din-o-danish hai mazaq-e-pir-e-mai-KHana
bashar iblis ko tazwir-e-nau ka dars deta hai
muzayyan hai gunah-e-gunagun se har pari-KHana
ulum-e-nau se raushan bazm hai tahzib-e-hazir ki
yad-e-tajdid ne Dhaala hai dil-awez but-KHana
ye mana maghribi talim ne parwaz baKHshi hai
ye mah-o-KHur bhi ban jaenge ab qindil ka shana
KHuda ke chahne wale abhi tak bhole-bhaale hain
bana rakha hai harz-e-jaan sada mazi ka afsana
gunah-e-taza ki taKHliq se iblis qasir hai
dimagh-e-fitna-ju par hai musallat zof-e-pirana
bahut majbur be-chaara hai KHud pirana-sali se
use malum kya hai masiyat ka taza paimana
KHuda wale tajjub hai ki masum-o-muqaddas hain
azab-e-nau-ba-nau se hai murassa aaina-KHana
rah-e-tashkik par raKHsh-e-hunar paiham KHiraman hai
bahut mushkil hai fitrat ka abhi tasKHir farmana
musawat-e-nazar ka muddaton se shor sunta hun
faza duniya ki hai lekin abhi tak firqa-warana
hawas ka dars to yaro bahut hi KHub hai lekin
abhi quran ki tafhim se aajiz hai farzana
buton ka toDna tha kar-e-asan ahd-e-mazi mein
wale mushkil hai Dhana aaj ki hikmat ka but-KHana
qulub-e-asr-e-hazir mein abhi iman Dhal jae
faqiron ka nahin dekha hai ejaz-e-kalimana
tafaKHur ke marizon ke liye iksir hoti hai
sarasar banda-e-'bebak' ki tarz-e-faqirana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.