hilal-e-id
Interesting Fact
(ایک بیوہ کی نظر میں)
ai hilāl-e-īd kyoñ sūrat tirī ġhamnāk hai
kis liye zardī hai ruḳh par kyoñ garebāñ chaak hai
tere aane meñ huā kartī thī pahle ik ḳhushī
ab kī kyā dekhā hai tujh ko muztarib hai zindagī
chehra-e-zebā hai terā jāñ-sitāñ mere liye
terī nokeñ ban ga.iiñ nok-e-sināñ mere liye
aah ye ThanDī havā.eñ kis qadar haiñ ġham-fazā
mahshar-e-ġham kar diyā jis ne mire dil meñ bapā
tū hai ḳhvāhān-e-masarrat aur maiñ maġhmūm huuñ
tujh ko hāsil irtiqā hai aur maiñ mazlūm huuñ
yaad haiñ mujh ko abhī tak apnī shahbā-e-nashāt
kuuT kar qudrat ne jis meñ bhar diyā thā imbisāt
ḳhvāb sī ma.alūm hotī haiñ vo ab bāteñ mujhe
kyā mayassar ab na hoñgī aah vo rāteñ mujhe
haa.e kyā din the ki jab thiiñ ārzūeñ kāmyāb
thā kabhī ābād bhī merā dil-e-ḳhāna-ḳharāb
thā kabhī mere liye bhī vo 'arūsāna suhāg
haa.e vo ahd-e-tamannā aur javānī kā vo raag
haañ magar ai maut tū ne ghar ko vīrāñ kar diyā
ya.anī vo shīrāza-e-ishrat pareshāñ kar diyā
ab nahīñ matlab dil-e-ġhamnāk ko is iid se
mujh ko hotī thī masarrat ek un kī diid se
vo nahīñ to iid kī saarī masarrat hech hai
ġham-zada dil ke liye ye aish-o-ishrat hech hai
ab na vo josh-e-tarannum hai na haiñ vo valvale
past ho kar rah ga.e haiñ jī ke jī meñ hausle
ai hilāl-e-īd tū hai bā.is-e-ranj-o-alam
ho gayā hai taaza tere dekhne se dil kā ġham
haa.e vo din ab kahāñ jab tū nashāt-angez thā
terā har jalva nazar ko imbisāt-angez thā
terī aamad se huā kartā thā dil ko ik nashāt
haañ magar ab ke nahīñ tujh meñ vo terā imbisāt
ai hilāl-e-īd merī iid kyā dekhī nahīñ
kyā mirā ahd-e-guzishta ab nahīñ hai dil-nashīñ
kis liye hañstā hai merī bekasī par bār-bār
dekh terī chheḌ se maiñ ho na jā.ūñ ashk-bār
dil meñ hai tūfān barpā lab pe aa saktā nahīñ
kis qadar majbūr-e-ġham hai aah ye jān-e-hazīñ
maut aa jaa.e na dekho sub.h meñ is shaam kī
ai hilal-e-id kyon surat teri ghamnak hai
kis liye zardi hai ruKH par kyon gareban chaak hai
tere aane mein hua karti thi pahle ek KHushi
ab ki kya dekha hai tujh ko muztarib hai zindagi
chehra-e-zeba hai tera jaan-sitan mere liye
teri noken ban gain nok-e-sinan mere liye
aah ye ThanDi hawaen kis qadar hain gham-faza
mahshar-e-gham kar diya jis ne mere dil mein bapa
tu hai KHwahan-e-masarrat aur main maghmum hun
tujh ko hasil irtiqa hai aur main mazlum hun
yaad hain mujh ko abhi tak apni shahba-e-nashat
kuT kar qudrat ne jis mein bhar diya tha imbisat
KHwab si malum hoti hain wo ab baaten mujhe
kya mayassar ab na hongi aah wo raaten mujhe
hae kya din the ki jab thin aarzuen kaamyab
tha kabhi aabaad bhi mera dil-e-KHana-KHarab
tha kabhi mere liye bhi wo 'arusana suhag
hae wo ahd-e-tamanna aur jawani ka wo rag
han magar ai maut tu ne ghar ko viran kar diya
yani wo shiraaza-e-ishrat pareshan kar diya
ab nahin matlab dil-e-ghamnak ko is id se
mujh ko hoti thi masarrat ek un ki did se
wo nahin to id ki sari masarrat hech hai
gham-zada dil ke liye ye aish-o-ishrat hech hai
ab na wo josh-e-tarannum hai na hain wo walwale
past ho kar rah gae hain ji ke ji mein hausle
ai hilal-e-id tu hai bais-e-ranj-o-alam
ho gaya hai taza tere dekhne se dil ka gham
hae wo din ab kahan jab tu nashat-angez tha
tera har jalwa nazar ko imbisat-angez tha
teri aamad se hua karta tha dil ko ek nashat
han magar ab ke nahin tujh mein wo tera imbisat
ai hilal-e-id meri id kya dekhi nahin
kya mera ahd-e-guzishta ab nahin hai dil-nashin
kis liye hansta hai meri bekasi par bar-bar
dekh teri chheD se main ho na jaun ashk-bar
dil mein hai tufan barpa lab pe aa sakta nahin
kis qadar majbur-e-gham hai aah ye jaan-e-hazin
maut aa jae na dekho subh mein is sham ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.