himala se do do baaten
bhalā majāl kahāñ mujh se be-zabānoñ kī
ki muñh se baat kahūñ kuchh falak nishānoñ kī
tire vajūd se aalam ye ho gayā raushan
ki ḳhāk-e-hind meñ rif.at hai āsmānoñ kī
vo phuul haiñ tire dāman meñ sāmne jin ke
bahār gard hai duniyā ke gulistānoñ kī
guphāoñ se tirī nikleñ to saare aalam meñ
sadā.eñ guuñj uThīñ tauhīd ke tarānoñ kī
bulandiyoñ se tirī jab ravāñ hue chashme
hayāt jin se hai duniyā ke bāġhbānoñ kī
mai-e-majāz meñ jo nashsha-e-haqīqat hai
vo yādgār hai to ishq ke fasānoñ kī
tirī bulandī ġhurūr-e-vaqār ke aage
chalī na ek havā.ī-jahāz-rānoñ kī
vo suur phūñk de apne lab-e-mubārak se
ki yaad taaza ho bhūle hue fasānoñ kī
aTal hoñ jin ke irāde ḳhayāl jin ke buland
uTheñ ab aise zamīn-e-vatan se hausla-mand
bhala majal kahan mujh se be-zabanon ki
ki munh se baat kahun kuchh falak nishanon ki
tere wajud se aalam ye ho gaya raushan
ki KHak-e-hind mein rifat hai aasmanon ki
wo phul hain tere daman mein samne jin ke
bahaar gard hai duniya ke gulistanon ki
guphaon se teri niklen to sare aalam mein
sadaen gunj uThin tauhid ke taranon ki
bulandiyon se teri jab rawan hue chashme
hayat jin se hai duniya ke baghbanon ki
mai-e-majaz mein jo nashsha-e-haqiqat hai
wo yaadgar hai to ishq ke fasanon ki
teri bulandi ghurur-e-waqar ke aage
chali na ek hawai-jahaz-ranon ki
wo sur phunk de apne lab-e-mubarak se
ki yaad taza ho bhule hue fasanon ki
aTal hon jin ke irade KHayal jin ke buland
uThen ab aise zamin-e-watan se hausla-mand
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 130)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.