himmat
sūkhe pattoñ meñ bhī hotī hai halchal
banjar zamīn meñ bhī hotī hai bastiyāñ
kyuuñ nā siikh maiñ bhī luuñ in se zarā
ki maut abhī nahīñ aa.ī hai tumhārī
haar ko to hārnā hai ek din
tab tak kar lo koshisheñ hazār
yuuñ baiTh na jaanā thak haar kar
varna mileñge ta.ane baar baar
dhaḌkaneñ haiñ jab tak siine meñ tere
tū rakhtā hai himmat jūjhne kī
har mushkil hālāt aur har tūfān se
Dagmagā nā rāstoñ se aur in surañg se
hausla rakh rakh bharosa
ḳhud meñ apne aap meñ
khil uThegā har konā
tere andar kī āvāz se
jiit legā ek din to
haarī huī har baazī ko bhī
sukhe patton mein bhi hoti hai halchal
banjar zamin mein bhi hoti hai bastiyan
kyun na sikh main bhi lun in se zara
ki maut abhi nahin aai hai tumhaari
haar ko to haarna hai ek din
tab tak kar lo koshishen hazar
yun baiTh na jaana thak haar kar
warna milenge tane bar bar
dhaDkanen hain jab tak sine mein tere
tu rakhta hai himmat jujhne ki
har mushkil haalat aur har tufan se
Dagmaga na raston se aur in surang se
hausla rakh rakh bharosa
KHud mein apne aap mein
khil uThega har kona
tere andar ki aawaz se
jit lega ek din to
haari hui har bazi ko bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.