hina-na-basta hatheliyon ke nam
dhanak oḌh kar phir rahī ho magar
tum ne sochā kabhī
ye ThanDī phuvāreñ
tumhāre sulagte badan ko ḳhunuk-bāriyāñ de sakeñgī
aaj tak
kitne tapte hue mausamoñ ne jalāyā hai tan kā shajar
zindagī kī khulī muTThiyoñ meñ sabhī āñdhiyāñ
bāñjh jazbāt kī sard hotī huī raakh bhartī rahīñ
dard kī siip meñ ek bhī buuñd motī nahīñ ban sakī
dil ke kashkol meñ ek sikka masarrat kā khankā nahīñ
pyāse hoñToñ ke nam sāhiloñ ke badan
tishnagī kī jamī ret par kasmasāte rahe
phuul jaltī hathelī ke kumhlā ga.e
uñgliyoñ par ḳhizāñ chhā ga.ī
zulf kī sab siyah nāgineñ
kāshmīr aur shimle kī pagDanDiyāñ ban ga.iiñ
bhīgī palkoñ pe rakkhe hue sab charāġhoñ ko
bhūkī sahar khā ga.ī
dhanak oḌh kar phir rahī ho magar
tum ne sochā kabhī
aaj tak kitnī shahzādiyāñ
pāñchvīñ samt se
aane vaale kisī shāhzāde kī ummīd meñ
kaale dev.oñ ke
andhe kuoñ meñ nazar-band haiñ
dhanak oḌh kar
yūñhī kab tak phirogī bhalā
ḳhudārā uTho
apnī taqdīr ke munsifoñ se
ye pūchho zarā
jhūTī shaan aur shaukat ke patthar tale
kab talak haath mehñdī se
aur maañg sust-rang afshāñ se ḳhālī rahegī
vo purānī havelī jo purkhoñ kī hai
yā vo tālāb ke paas vaalī zamīñ
yā
dasahrī kī ḳhushbū se mahkā huā baaġh vo
kyoñ nahīñ bechte
dhanak oḌh kar phir rahī ho magar
ye to pūchho zarā
dhanak oDh kar phir rahi ho magar
tum ne socha kabhi
ye ThanDi phuwaren
tumhaare sulagte badan ko KHunuk-bariyan de sakengi
aaj tak
kitne tapte hue mausamon ne jalaya hai tan ka shajar
zindagi ki khuli muTThiyon mein sabhi aandhiyan
banjh jazbaat ki sard hoti hui rakh bharti rahin
dard ki sip mein ek bhi bund moti nahin ban saki
dil ke kashkol mein ek sikka masarrat ka khanka nahin
pyase honTon ke nam sahilon ke badan
tishnagi ki jami ret par kasmasate rahe
phul jalti hatheli ke kumhla gae
ungliyon par KHizan chha gai
zulf ki sab siyah naginen
kashmir aur shimle ki pagDanDiyan ban gain
bhigi palkon pe rakkhe hue sab charaghon ko
bhuki sahar kha gai
dhanak oDh kar phir rahi ho magar
tum ne socha kabhi
aaj tak kitni shahzadiyan
panchwin samt se
aane wale kisi shahzade ki ummid mein
kale dewon ke
andhe kuon mein nazar-band hain
dhanak oDh kar
yunhi kab tak phirogi bhala
KHudara uTho
apni taqdir ke munsifon se
ye puchho zara
jhuTi shan aur shaukat ke patthar tale
kab talak hath mehndi se
aur mang sust-rang afshan se KHali rahegi
wo purani haweli jo purkhon ki hai
ya wo talab ke pas wali zamin
ya
dasahri ki KHushbu se mahka hua bagh wo
kyon nahin bechte
dhanak oDh kar phir rahi ho magar
ye to puchho zara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.