hindi
hindī zabāñ hamārī lagtī hai ham ko pyārī
is se hai pyaar ham ko jaane ye duniyā saarī
chun chun ke phuul is ke mālā.eñ ham banā.eñ
karke siñghār is kā nis-din ise sajā.eñ
pahuñchā deñ is ko ghar ghar hai kāmnā hamārī
hindī zabāñ hamārī lagtī hai ham ko pyārī
har shabd is kā hirdai-paT par likhā huā hai
hindī zabāñ kā amrit dil meñ utar gayā hai
dīvāne ham haiñ is ke haiñ is ke ham pujārī
hindī zabāñ hamārī lagtī hai ham ko pyārī
bādhā.eñ sab miTā deñ ham is ke rāstoñ kī
de deñ ise ik manzil insānoñ ke diloñ meñ
ye gulshan-e-vatan kī kahlātī hai dulārī
hindī zabāñ hamārī lagtī hai ham ko pyārī
hindī zabāñ se 'māhir' haiñ pyaar karne vaale
is kī kiran ke har-sū haiñ ḳhushnumā ujāle
is ke guloñ kī ḳhushbū lagtī hai sab ko pyārī
hindī zabāñ hamārī lagtī hai ham ko pyārī
hindi zaban hamari lagti hai hum ko pyari
is se hai pyar hum ko jaane ye duniya sari
chun chun ke phul is ke malaen hum banaen
karke singhaar is ka nis-din ise sajaen
pahuncha den is ko ghar ghar hai kaamna hamari
hindi zaban hamari lagti hai hum ko pyari
har shabd is ka hirdai-paT par likha hua hai
hindi zaban ka amrit dil mein utar gaya hai
diwane hum hain is ke hain is ke hum pujari
hindi zaban hamari lagti hai hum ko pyari
baadhaen sab miTa den hum is ke raston ki
de den ise ek manzil insanon ke dilon mein
ye gulshan-e-watan ki kahlati hai dulari
hindi zaban hamari lagti hai hum ko pyari
hindi zaban se 'mahir' hain pyar karne wale
is ki kiran ke har-su hain KHushnuma ujale
is ke gulon ki KHushbu lagti hai sab ko pyari
hindi zaban hamari lagti hai hum ko pyari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.