hindi musalman
hindī musalmān huuñ maiñ hindī musalmān
ūñchā parbat gahrā sāgar aur chatiyal maidān
banjar sahrā bahtā dariyā khetī aur khaliyān
sab dhan merā kuTiyā ho yā qasr-e-ālīshān
bhārat maatā merī hai ye merā hindostān
hindī musalmān huuñ maiñ hindī musalmān
mere dil kā nuur hai merī aañkh kā taarā des
jagmag jagmag kartā hai anvār se saarā des
jitnā pyārā diin hai mujh ko utnā pyārā des
giitā aur granth haiñ mere merā hai qur.ān
hindī musalmān huuñ maiñ hindī musalmān
sun leñ mere bairī dushman rahzan dushT kaThor
prem kā bal hai mere man meñ bhiim kā tan meñ zor
uttar dakhkhan pūrab pachchhim dhuum hai chāroñ or
mere jiite jī kyā hogā bhārat kā apmān
hindī musalmān huuñ maiñ hindī musalmān
chappe-chappe par haiñ ma.ābid aur un ke mīnār
kūche-kūche meñ haiñ maqābir aur un ke anvār
zarre-zarre meñ haiñ mere aabā ke āsār
mere jigar ke ḳhuun se baaqī mere vatan kī shaan
hindī musalmān huuñ maiñ hindī musalmān
sab se pahle des meñ chamkī hai merī talvār
añgrezoñ kī nazroñ meñ huuñ maiñ pahlā ġhaddār
ab tak jag meñ guuñj rahī hai Tiipū kī lalkār
kaun vafā ke bandoñ par rakh saktā hai bohtān
hindī musalmān huuñ maiñ hindī musalmān
'kichlū' kā iḳhlās hai mujh meñ 'ajmal' kā kirdār
sarhad ke gāñdhī kī azmat 'jauhar' ke afkār
shāh-e-zafar kī himmat jis ne mar ke na maanī haar
ab bhī mere saath haiñ lākhoñ 'abdullāh' 'usmān'
hindī musalmān huuñ maiñ hindī musalmān
mujh ko apne des meñ ho saktā hai kis kā ḳhauf
bhārat kī āzād fazāoñ meñ hai ab kyā ḳhauf
mar jaanā jab bar-haq hai to maut se kaisā ḳhauf
ik din apne des pe mujh ko honā hai qurbān
hindī musalmān huuñ maiñ hindī musalmān
hindi musalman hun main hindi musalman
uncha parbat gahra sagar aur chatiyal maidan
banjar sahra bahta dariya kheti aur khaliyan
sab dhan mera kuTiya ho ya qasr-e-alishan
bhaarat mata meri hai ye mera hindostan
hindi musalman hun main hindi musalman
mere dil ka nur hai meri aankh ka tara des
jagmag jagmag karta hai anwar se sara des
jitna pyara din hai mujh ko utna pyara des
gita aur granth hain mere mera hai quran
hindi musalman hun main hindi musalman
sun len mere bairi dushman rahzan dushT kaThor
prem ka bal hai mere man mein bhim ka tan mein zor
uttar dakhkhan purab pachchhim dhum hai chaaron or
mere jite ji kya hoga bhaarat ka apman
hindi musalman hun main hindi musalman
chappe-chappe par hain maabid aur un ke minar
kuche-kuche mein hain maqabir aur un ke anwar
zarre-zarre mein hain mere aaba ke aasar
mere jigar ke KHun se baqi mere watan ki shan
hindi musalman hun main hindi musalman
sab se pahle des mein chamki hai meri talwar
angrezon ki nazron mein hun main pahla ghaddar
ab tak jag mein gunj rahi hai Tipu ki lalkar
kaun wafa ke bandon par rakh sakta hai bohtan
hindi musalman hun main hindi musalman
'kichlu' ka iKHlas hai mujh mein 'ajmal' ka kirdar
sarhad ke gandhi ki azmat 'jauhar' ke afkar
shah-e-zafar ki himmat jis ne mar ke na mani haar
ab bhi mere sath hain lakhon 'abdullah' 'usman'
hindi musalman hun main hindi musalman
mujh ko apne des mein ho sakta hai kis ka KHauf
bhaarat ki aazad fazaon mein hai ab kya KHauf
mar jaana jab bar-haq hai to maut se kaisa KHauf
ek din apne des pe mujh ko hona hai qurban
hindi musalman hun main hindi musalman
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.