hindostan hamara
ham gul haiñ aur gulshan hindostāñ hamārā
sab ḳhushbūoñ kā dāman hindostāñ hamārā
jalte haiñ yā ThiThurte sab des is jahāñ ke
mīThī rutoñ kā āñgan hindostāñ hamārā
jab ujḌe manzaroñ se māyūs hoñ nigāheñ
detā hai sabz sāvan hindostāñ hamārā
ye sher kā vatan hai hañste kañval kā āñgan
tā.ūs kā nasheman hindostāñ hamārā
maġhrūr parbatoñ par āzād bādaloñ kī
pariyoñ kā ek maskan hindostāñ hamārā
nadiyoñ meñ is kī chāñdī khetoñ meñ is ke sonā
duniyā kā hai mahājan hindostāñ hamārā
yāroñ se is kī yaarī mash.hūr to hai lekin
sau dushmanoñ kā dushman hindostāñ hamārā
kaalī siyāsatoñ se kaalā na ho sakegā
sūraj ke jaisā raushan hindostāñ hamārā
shāyad ġhalat nahīñ hai 'shādāb' kā ye kahnā
sab maz.haboñ kā māman hindostāñ hamārā
hum gul hain aur gulshan hindostan hamara
sab KHushbuon ka daman hindostan hamara
jalte hain ya ThiThurte sab des is jahan ke
miThi ruton ka aangan hindostan hamara
jab ujDe manzaron se mayus hon nigahen
deta hai sabz sawan hindostan hamara
ye sher ka watan hai hanste kanwal ka aangan
taus ka nasheman hindostan hamara
maghrur parbaton par aazad baadalon ki
pariyon ka ek maskan hindostan hamara
nadiyon mein is ki chandi kheton mein is ke sona
duniya ka hai mahajan hindostan hamara
yaron se is ki yari mashhur to hai lekin
sau dushmanon ka dushman hindostan hamara
kali siyasaton se kala na ho sakega
suraj ke jaisa raushan hindostan hamara
shayad ghalat nahin hai 'shadab' ka ye kahna
sab mazhabon ka maman hindostan hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.