hindostan mein urdu
din-dahāḌe lafz ko bāzār meñ
qatl kar Daalā gayā
ye ḳhabar tum ne sunī
ye ḳhabar maiñ ne sunī
aur sun kar chup rahe
marne vaale kā koī vāris na thā
is liye hukkām ne maqtūl kī be-nām laash
murda-ghar ko bhej dī
phir ḳhudā ma.alūm us kā kyā huā
ek din kuchh sar-phire
DhūñDhne nikle luġhat ke maqbare
to achānak un ko ye katba milā
sab se pahle lafz thā
din-dahaDe lafz ko bazar mein
qatl kar Dala gaya
ye KHabar tum ne suni
ye KHabar main ne suni
aur sun kar chup rahe
marne wale ka koi waris na tha
is liye hukkaam ne maqtul ki be-nam lash
murda-ghar ko bhej di
phir KHuda malum us ka kya hua
ek din kuchh sar-phire
DhunDhne nikle lughat ke maqbare
to achanak un ko ye katba mila
sab se pahle lafz tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.