hindostani bachche
bachcho tum taqdīr ho kal ke hindostān kī
baapū ke vardān kī nehru ke armān kī
aaj ke TuuTe khañDaroñ par tum kal desh basāoge
jo ham logoñ se na huā vo tum kar ke dikhlāoge
tum nannhī buniyādeñ ho duniyā ke na.e vidhān kī
bachcho tum taqdīr ho kal ke hindostān kī
jo sadiyoñ ke baad milī hai vo āzādī kho.e na
diin dharam ke naam pe koī biij phuuT kā bo.e na
har maz.hab se ūñchī hai qīmat insānī jaan kī
bachcho tum taqdīr ho kal ke hindostān kī
phir koī jai-chand na ubhre phir koī jāfar na uTThe
ġhairoñ kā dil ḳhush karne ko apnoñ par ḳhanjar na uTThe
dhan daulat ke lālach meñ tauhīn na ho īmān kī
bachcho tum taqdīr ho kal ke hindostān kī
bahut dinoñ tak is duniyā meñ riit rahī hai jangoñ kī
laḌī haiñ dhan vāloñ kī ḳhātir faujeñ bhūke nañgoñ kī
koī luTerā le na sake ab qurbānī insān kī
bachcho tum taqdīr ho kal ke hindostān kī
rah na sake ab is duniyā meñ yug sarmāya-dārī kā
tum ko jhanDā lahrānā hai mehnat kī sardārī kā
hal hoñ ab mazdūroñ ke aur khetī ho dahqān kī
bachcho tum taqdīr ho kal ke hindostān kī
bachcho tum taqdir ho kal ke hindostan ki
bapu ke wardan ki nehru ke arman ki
aaj ke TuTe khanDaron par tum kal desh basaoge
jo hum logon se na hua wo tum kar ke dikhlaoge
tum nannhi buniyaaden ho duniya ke nae widhan ki
bachcho tum taqdir ho kal ke hindostan ki
jo sadiyon ke baad mili hai wo aazadi khoe na
din dharam ke nam pe koi bij phuT ka boe na
har mazhab se unchi hai qimat insani jaan ki
bachcho tum taqdir ho kal ke hindostan ki
phir koi jai-chand na ubhre phir koi jafar na uTThe
ghairon ka dil KHush karne ko apnon par KHanjar na uTThe
dhan daulat ke lalach mein tauhin na ho iman ki
bachcho tum taqdir ho kal ke hindostan ki
bahut dinon tak is duniya mein rit rahi hai jangon ki
laDi hain dhan walon ki KHatir faujen bhuke nangon ki
koi luTera le na sake ab qurbani insan ki
bachcho tum taqdir ho kal ke hindostan ki
rah na sake ab is duniya mein yug sarmaya-dari ka
tum ko jhanDa lahrana hai mehnat ki sardari ka
hal hon ab mazduron ke aur kheti ho dahqan ki
bachcho tum taqdir ho kal ke hindostan ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.