hindu muslim
qayāmat kī ghaḌī hai inqilābī suur bajte haiñ
kahīñ bijlī kaḌaktī hai kahīñ bādal garajte haiñ
jo hūreñ ḳhair-o-shar kī laḌtī aa.ī haiñ vo laḌtī haiñ
tamaddun kāñptā hai ummateñ bantī bigaḌtī haiñ
purānī satvatoñ kī bārgāheñ haiñ tazalzul meñ
nayā daur aa rahā hai ab zamāne ke tasalsul meñ
vo rūThe mante jaate haiñ jinheñ manñā na aatā thā
vo bigḌe ban ga.e āḳhir jinheñ banñā na aatā thā
magar hindostāñ hindostāñ hindostāñ he he
zamīñ is kī na badlī aur na badlā āsmān he he
farishte har sahar rote haiñ is kī bad-nasībī par
bhare kumbe kī maañ mātam kare apnī ġharībī par
koī hai mādar-e-be-kas kā haq pahchānñe vaalā
bahut haiñ jānñe vaale koī hai mānñe vaalā
koī hai jo jigar kī aag se shab ko sahar kar de
koī hai hindū muslim ko ki jo shīr-o-shakar kar de
koī hai is niyastāñ ko jo phir gulshan banā Daale
koī hai jo ḳhas-o-ḳhāshāk ko yaksar jalā Daale
koī hai jo navā-e-ishq se mahfil ko garmā de
koī hai jo vafā kī huuk se sīnoñ ko barmā de
koī phir akbar-o-nānak kī rūhoñ ko jagā detā
kabīr-o-jā.isī ke raag phir koī sunā detā
vo din bhī thā kabhī aur aaj ye din hai ki aapas meñ
hai aisī roz-afzūñ phuuT jo aatī nahīñ bas meñ
ye kyuuñ hai us ko sochā bhī kabhī ai sochne vaale
paḌe kyuuñ apne hāthoñ ham ko apnī jaan ke laale
nazar kā zāviya badlā to dil badle nazar badlī
hamārā hī jo ruḳh badlā to shab badlī sahar badlī
hamīñ phir apne mustaqbil ke ruukh ko moḌ sakte haiñ
hamīñ apnī banā.ī sarhadoñ ko toḌ sakte haiñ
javāno aao apnī ġhairatoñ ko mil ke lālkāreñ
unheñ Dhā deñ khaḌī haiñ aaj jo nafrat kī dīvāreñ
qayamat ki ghaDi hai inqilabi sur bajte hain
kahin bijli kaDakti hai kahin baadal garajte hain
jo huren KHair-o-shar ki laDti aai hain wo laDti hain
tamaddun kanpta hai ummaten banti bigaDti hain
purani satwaton ki bargahen hain tazalzul mein
naya daur aa raha hai ab zamane ke tasalsul mein
wo ruThe mante jate hain jinhen manna na aata tha
wo bigDe ban gae aaKHir jinhen banna na aata tha
magar hindostan hindostan hindostan he he
zamin is ki na badli aur na badla aasman he he
farishte har sahar rote hain is ki bad-nasibi par
bhare kumbe ki man matam kare apni gharibi par
koi hai madar-e-be-kas ka haq pahchanne wala
bahut hain jaanne wale koi hai manne wala
koi hai jo jigar ki aag se shab ko sahar kar de
koi hai hindu muslim ko ki jo shir-o-shakar kar de
koi hai is niyastan ko jo phir gulshan bana Dale
koi hai jo KHas-o-KHashak ko yaksar jala Dale
koi hai jo nawa-e-ishq se mahfil ko garma de
koi hai jo wafa ki huk se sinon ko barma de
koi phir akbar-o-nanak ki ruhon ko jaga deta
kabir-o-jaisi ke rag phir koi suna deta
wo din bhi tha kabhi aur aaj ye din hai ki aapas mein
hai aisi roz-afzun phuT jo aati nahin bas mein
ye kyun hai us ko socha bhi kabhi ai sochne wale
paDe kyun apne hathon hum ko apni jaan ke lale
nazar ka zawiya badla to dil badle nazar badli
hamara hi jo ruKH badla to shab badli sahar badli
hamin phir apne mustaqbil ke rukh ko moD sakte hain
hamin apni banai sarhadon ko toD sakte hain
jawano aao apni ghairaton ko mil ke lalkaren
unhen Dha den khaDi hain aaj jo nafrat ki diwaren
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.