hisab-e-kam-o-besh
maiñ kitāb-e-ġham-e-hastī kī huuñ tahrīr koī
uljhī uljhī sī ho pechīda sī tafsīr koī
maiñ ki ik jabr-e-musalsal meñ pisā jaatā huuñ
dhuñdlī dhuñdlī sī ibārat maiñ banā jaatā huuñ
jabr aisā hai ki lamhoñ kī ḳhatā.eñ jaise
ban ga.iiñ sadiyoñ kī vo saarī sazā.eñ jaise
jabr kī had bhī muqarrar nahīñ merī ḳhātir
ya.anī maiñ sāda-mizāj aur vo zālim shātir
pūchhtā bhī nahīñ mujh se ki tirā sabr hai kyoñ
aur vazāhat bhī nahīñ is kī ki ye jabr hai kyoñ
pahle ḳhushbū mirī gum-gashta sī rāhoñ kī mile
phir sazā jo bhī mile karda gunāhoñ kī mile
maiñ vo tahrīr huuñ paḌhtā nahīñ jis ko koī
aur paḌh le to samajhtā nahīñ jis ko koī
rasm-e-ḳhat ajnabī jis kā vo ibārat huuñ maiñ
jis kī buniyād hai ḳhasta vo imārat huuñ maiñ
makḌiyoñ ne mire atrāf bune haiñ jaale
ye haiñ jaale mire samjhe hue dekhe-bhāle
chāñdnī merī hai aur na hī sitāre mere
merī kashtī hai na dhāre na kināre mere
mere māthe pe tabassum kī shikan bhī hogī
us ke pīchhe ka.ī rishtoñ kī thakan bhī hogī
maiñ pahuñch jā.ūñgā ik roz zamīñ ke nīche
ḳhaak hī hogī phir is ḳhāk-nashīñ ke nīche
gard jam jā.egī ik roz mirī turbat par
phir to maiñ ro bhī na pā.ūñgā tirī harakat par
zehn mā.ūf hai aur dil abhī shaq hai merā
tujh pe ai umr-e-ravāñ thoḌā to haq hai merā
ai mirī ruuh ke mālik ye muqaddar kar de
maiñ ġham-e-zīst kā maarā mujhe patthar kar de
yā hisāb-e-kam-o-besh aaj barābar kar de
yā mirī ruuh mire jism se bāhar kar de
main kitab-e-gham-e-hasti ki hun tahrir koi
uljhi uljhi si ho pechida si tafsir koi
main ki ek jabr-e-musalsal mein pisa jata hun
dhundli dhundli si ibarat main bana jata hun
jabr aisa hai ki lamhon ki KHataen jaise
ban gain sadiyon ki wo sari sazaen jaise
jabr ki had bhi muqarrar nahin meri KHatir
yani main sada-mizaj aur wo zalim shatir
puchhta bhi nahin mujh se ki tera sabr hai kyon
aur wazahat bhi nahin is ki ki ye jabr hai kyon
pahle KHushbu meri gum-gashta si rahon ki mile
phir saza jo bhi mile karda gunahon ki mile
main wo tahrir hun paDhta nahin jis ko koi
aur paDh le to samajhta nahin jis ko koi
rasm-e-KHat ajnabi jis ka wo ibarat hun main
jis ki buniyaad hai KHasta wo imarat hun main
makDiyon ne mere atraf bune hain jale
ye hain jale mere samjhe hue dekhe-bhaale
chandni meri hai aur na hi sitare mere
meri kashti hai na dhaare na kinare mere
mere mathe pe tabassum ki shikan bhi hogi
us ke pichhe kai rishton ki thakan bhi hogi
main pahunch jaunga ek roz zamin ke niche
KHak hi hogi phir is KHak-nashin ke niche
gard jam jaegi ek roz meri turbat par
phir to main ro bhi na paunga teri harakat par
zehn mauf hai aur dil abhi shaq hai mera
tujh pe ai umr-e-rawan thoDa to haq hai mera
ai meri ruh ke malik ye muqaddar kar de
main gham-e-zist ka mara mujhe patthar kar de
ya hisab-e-kam-o-besh aaj barabar kar de
ya meri ruh mere jism se bahar kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.