hisar-andar-hisar
mere ird-gard ik hisār hai
ik hisār jis ke gīr-o-dār maiñ
be-amāñ ġhubār meñ
merā jism merī zaat
taar taar hai
vaqt ek lafz jo
asiir apne mānavī bahisht meñ
vaqt ik tasalsul-e-ḳhayāl jis ke dūsre
ik ḳhalā-e-be-karāñ kī jāñ-kashāñ giraft hai
is hisār se agar nikal sakūñ
(jism munjamid chaTān barf kī maiñ agar pighal sakūñ)
reza reza jism ko sameT kar
ik vajūd-e-tāza-tar meñ Dhal sakūñ
phir na jaane kaun sā ġhubār mujh ko gher le
kaun sā hisār mujh ko gher le
mere ird-gard ek hisar hai
ek hisar jis ke gir-o-dar main
be-aman ghubar mein
mera jism meri zat
tar tar hai
waqt ek lafz jo
asir apne manawi bahisht mein
waqt ek tasalsul-e-KHayal jis ke dusre
ek KHala-e-be-karan ki jaan-kashan giraft hai
is hisar se agar nikal sakun
(jism munjamid chaTan barf ki main agar pighal sakun)
reza reza jism ko sameT kar
ek wajud-e-taza-tar mein Dhal sakun
phir na jaane kaun sa ghubar mujh ko gher le
kaun sa hisar mujh ko gher le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.