hisar-e-tirgi
ḳhvāhishoñ ke lams meñ Duubī huī
dā.eroñ meñ ghūmtī tanhā.iyāñ
ihtibās-o-jabr kī tārīk shab
muztarib ranjūr gandum-gūñ sahar
aisā lagtā hai añdherā kah rahā ho zer-e-lab
ai kabūd-o-kor-chashm ai la.iin
tujh ko baḳhshī thī kiran az-rāh-e-dil-sozī magar
tū samajhtā hai ki ye jūd-o-saḳhā lutf-o-ataf
terā istehqāq hai aur tū ḳhudā-e-āftāb
jal bujhe muddat huī terī ḳhudā.ī ke diye
bhaag jitnā bhāgnā hai zulmatoñ ke qahr se
ho sake to phir jalā bisrī mohabbat ke charāġh
marg-bār-ālam meñ ik ummīd kī mub.ham kiran
ek bujhte diip kā maddham hirāsāñ irti.āsh
kaun jaane in charāġhoñ kī ziyā kab tak chale
KHwahishon ke lams mein Dubi hui
daeron mein ghumti tanhaiyan
ihtibas-o-jabr ki tarik shab
muztarib ranjur gandum-gun sahar
aisa lagta hai andhera kah raha ho zer-e-lab
ai kabud-o-kor-chashm ai lain
tujh ko baKHshi thi kiran az-rah-e-dil-sozi magar
tu samajhta hai ki ye jud-o-saKHa lutf-o-ataf
tera istehqaq hai aur tu KHuda-e-aftab
jal bujhe muddat hui teri KHudai ke diye
bhag jitna bhagna hai zulmaton ke qahr se
ho sake to phir jala bisri mohabbat ke charagh
marg-bar-alam mein ek ummid ki mubham kiran
ek bujhte dip ka maddham hirasan irtiash
kaun jaane in charaghon ki ziya kab tak chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.