hisar-e-zat
charāġh jal bhī uThe
raushnī nahīñ aa.ī
siyāh yādoñ ne
dānista ye karam bhī kiyā
har ek lamha-e-maujūd
bār-e-dosh huā
tilism Tuut gayā
dil-fazā masarrat kā
magar
ye merā vajūd
abhī tak hisār-e-zāt meñ hai
charagh jal bhi uThe
raushni nahin aai
siyah yaadon ne
danista ye karam bhi kiya
har ek lamha-e-maujud
bar-e-dosh hua
tilism Tut gaya
dil-faza masarrat ka
magar
ye mera wajud
abhi tak hisar-e-zat mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.