ye maiñ ne dekhā thā chhuTpane meñ
ki jin kā qad hai baḌā unheñ sab
salām karte
baḌe va chhoTe sabhī kī āñkhoñ
meñ dikhtī un ke liye bas izzat
to maiñ ne Thānā maiñ apnā qad bhī baḌā karūñgā
so ye huā bhī
ham-umr bachchoñ se maiñ hamesha
baḌā hī Thahrā
jin se qad meñ thā maiñ barābar
thā un se chhoTā
so khelne ko thā mere hisse meñ tanhā konā
magar mujhe thā abhī bhī baḌhnā
jahān-bhar se thā ūñchā banñā
koī bhī pahuñche na mere qad tak
ye chaah thī ab junūñ kī had tak
so ye huā bhī
har ek ehsās ab thā chhoTā
har ek rishta thā ghuTnoñ hī tak
so maiñ jo rotā hatāsh hotā
koī gale se lagātā mujh ko
thā ġhair-mumkin
baḌhā baḌhā ke maiñ apnī zid meñ
junūñ kā qad yuuñ baḌhā chukā huuñ
mire barābar koī bhī chādar bachī nahīñ hai
sukūñ ke bistar se paañv mere laTak rahe haiñ
magar maiñ ab bhī uchak uchak ke
ye dekhtā huuñ
maiñ pā ke sab kuchh yā sab gañvā ke
abhī bhī ḳhvāboñ ke kāñdhe tak hī
pahuñch sakā huuñ
ye main ne dekha tha chhuTpane mein
ki jin ka qad hai baDa unhen sab
salam karte
baDe wa chhoTe sabhi ki aankhon
mein dikhti un ke liye bas izzat
to main ne Thana main apna qad bhi baDa karunga
so ye hua bhi
ham-umr bachchon se main hamesha
baDa hi Thahra
jin se qad mein tha main barabar
tha un se chhoTa
so khelne ko tha mere hisse mein tanha kona
magar mujhe tha abhi bhi baDhna
jahan-bhar se tha uncha banna
koi bhi pahunche na mere qad tak
ye chah thi ab junun ki had tak
so ye hua bhi
har ek ehsas ab tha chhoTa
har ek rishta tha ghuTnon hi tak
so main jo rota hatash hota
koi gale se lagata mujh ko
tha ghair-mumkin
baDha baDha ke main apni zid mein
junun ka qad yun baDha chuka hun
mere barabar koi bhi chadar bachi nahin hai
sukun ke bistar se panw mere laTak rahe hain
magar main ab bhi uchak uchak ke
ye dekhta hun
main pa ke sab kuchh ya sab ganwa ke
abhi bhi KHwabon ke kandhe tak hi
pahunch saka hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.