ho gai baat saf
māriya sāhibā kī ik guḌiyā
aur suubī kā ek guDDā thā
aur donoñ meñ chaa.e par kal shaam
zikr rishte kā aise hotā thā
suubī muñh bigāḌ kar bolī
huuñh na achchhī haiñ ādateñ us kī
na mujhe koī ḳhaas lagtī hai
tum to kahtī thiiñ lagtī guḌiyā hañsmukh hai
ye to bilkul udaas lagtī hai
kab se bāloñ meñ kī nahīñ kañghī
chuTiyā dekho to ghaas lagtī hai
baat karne kā is ko Dhañg nahīñ hai
ye kahīñ m a paas lagtī hai
chaa.e guDDe ke coat par Dhā dī
ek dam bad-havās lagtī hai
naañ jī guḌiyā nahīñ hai ye kam-sin
ye to guDDe kī saas lagtī hai
ai zarā kok-vok mañgvāo
mere guDDe ko pyaas lagtī hai
māriya sāhibā kī guḌiyā kā
khīñchā suubī ne aisā jab naqsha
un ko aatā bhalā na kyoñ ġhussa
par baḌe zabt se ye farmāyā
ai bahan ye ḳhushī kā saudā hai
ho ga.ī baat saaf achchhā hai
merī guḌiyā to ḳhair jaisī hai
laaT sāhab ye ḳhud kahāñ kā hai
bhālū jaisī to is kī sūrat hai
tum to kahtī thiiñ bholā-bhālā hai
moñchheñ dekho to kitnī moTī haiñ
sar bhī pīchhe se thoḌā ganjā hai
kahīñ afsar to ḳhair kyā hogā
fifth meñ fail ho ke bhāgā hai
sab patā chal gayā mujhe bhī ab
kisī hotel kā ye to bairā hai
is kī tanḳhvāh bas zarā sī hai
tip ke milne hī par guzārā hai
haañ ise kok bhī mañgā deñge
dekh lo kis qadar na-dīda hai
is nikhaTTū ko guḌiyā dene se
kueñ meñ pheñk denā achchhā hai
mariya sahiba ki ek guDiya
aur subi ka ek guDDa tha
aur donon mein chae par kal sham
zikr rishte ka aise hota tha
subi munh bigaD kar boli
hunh na achchhi hain aadaten us ki
na mujhe koi KHas lagti hai
tum to kahti thin lagti guDiya hansmukh hai
ye to bilkul udas lagti hai
kab se baalon mein ki nahin kanghi
chuTiya dekho to ghas lagti hai
baat karne ka is ko Dhang nahin hai
ye kahin m a pas lagti hai
chae guDDe ke coat par Dha di
ek dam bad-hawas lagti hai
nan ji guDiya nahin hai ye kam-sin
ye to guDDe ki sas lagti hai
ai zara kok-wok mangwao
mere guDDe ko pyas lagti hai
mariya sahiba ki guDiya ka
khincha subi ne aisa jab naqsha
un ko aata bhala na kyon ghussa
par baDe zabt se ye farmaya
ai bahan ye KHushi ka sauda hai
ho gai baat saf achchha hai
meri guDiya to KHair jaisi hai
laT sahab ye KHud kahan ka hai
bhaalu jaisi to is ki surat hai
tum to kahti thin bhola-bhaala hai
monchhen dekho to kitni moTi hain
sar bhi pichhe se thoDa ganja hai
kahin afsar to KHair kya hoga
fifth mein fail ho ke bhaga hai
sab pata chal gaya mujhe bhi ab
kisi hotel ka ye to baira hai
is ki tanKHwah bas zara si hai
tip ke milne hi par guzara hai
han ise kok bhi manga denge
dekh lo kis qadar na-dida hai
is nikhaTTu ko guDiya dene se
kuen mein phenk dena achchha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.