honT khulte nahin
un ko mujh se gila mujh ko un se gila vo bhī ḳhāmosh haiñ maiñ bhī ḳhāmosh huuñ
ḳhāmushī ban ga.ī hāsil-e-mudda.ā vo bhī ḳhāmosh haiñ maiñ bhī ḳhāmosh huuñ
kashmakash meñ haiñ maġhrūr ra.anā.iyāñ be-amāñ phirtī haiñ kitnī parchhā.iyāñ
biite lamhoñ kā ā.īna dhuñdlā gayā vo bhī ḳhāmosh haiñ maiñ bhī ḳhāmosh huuñ
koī afsāna kahtī nahīñ zindagī dhaḌkaneñ dil kī haiñ ajnabī ajnabī
barbat-e-ārzū ho gayā be-sadā vo bhī ḳhāmosh haiñ maiñ bhī ḳhāmosh huuñ
sard hai ātishīñ valvaloñ kī jabīñ dil dhaḌakte haiñ aur aañkh uThtī nahīñ
kaun batlā.e kis se huī hai ḳhatā vo bhī ḳhāmosh haiñ maiñ bhī ḳhāmosh huuñ
hosh kis ko ki dohrā.e rūdād-e-ġham rūThī rūThī sī hai lazzat-e-kaif-o-kam
khoyā khoyā sā hai e'timād-e-vafā vo bhī ḳhāmosh haiñ maiñ bhī ḳhāmosh huuñ
talḳhī-e-shauq ke daaġh dhulte nahīñ jī machaltā hai aur hoñT khulte nahīñ
kitnī bebas hai ehsās kī har adā vo bhī ḳhāmosh haiñ maiñ bhī ḳhāmosh huuñ
kaise ye pech-o-ḳham aa paḌe nā-gahāñ ham-safar ham-safar se huā bad-gumāñ
gum añdheroñ meñ hone lagā rāsta vo bhī ḳhāmosh haiñ maiñ bhī ḳhāmosh huuñ
vajah-e-āzurdagī tā-ba-lab aa.e kyā ek pindār hai kitnā sabr-āzmā
pyaar ko mil gayā ik nayā mashġhala vo bhī ḳhāmosh haiñ maiñ bhī ḳhāmosh huuñ
hurmat ik dard kī ḳham-ba-ḳham rahguzar kar rahī hai ishāre ki aao idhar
kaun manzil kā kis ko batā.e pata vo bhī ḳhāmosh haiñ maiñ bhī ḳhāmosh huuñ
un ko mujh se gila mujh ko un se gila wo bhi KHamosh hain main bhi KHamosh hun
KHamushi ban gai hasil-e-muddaa wo bhi KHamosh hain main bhi KHamosh hun
kashmakash mein hain maghrur ranaiyan be-aman phirti hain kitni parchhaiyan
bite lamhon ka aaina dhundla gaya wo bhi KHamosh hain main bhi KHamosh hun
koi afsana kahti nahin zindagi dhaDkanen dil ki hain ajnabi ajnabi
barbat-e-arzu ho gaya be-sada wo bhi KHamosh hain main bhi KHamosh hun
sard hai aatishin walwalon ki jabin dil dhaDakte hain aur aankh uThti nahin
kaun batlae kis se hui hai KHata wo bhi KHamosh hain main bhi KHamosh hun
hosh kis ko ki dohrae rudad-e-gham ruThi ruThi si hai lazzat-e-kaif-o-kam
khoya khoya sa hai e'timad-e-wafa wo bhi KHamosh hain main bhi KHamosh hun
talKHi-e-shauq ke dagh dhulte nahin ji machalta hai aur honT khulte nahin
kitni bebas hai ehsas ki har ada wo bhi KHamosh hain main bhi KHamosh hun
kaise ye pech-o-KHam aa paDe na-gahan ham-safar ham-safar se hua bad-guman
gum andheron mein hone laga rasta wo bhi KHamosh hain main bhi KHamosh hun
wajah-e-azurdagi ta-ba-lab aae kya ek pindar hai kitna sabr-azma
pyar ko mil gaya ek naya mashghala wo bhi KHamosh hain main bhi KHamosh hun
hurmat ek dard ki KHam-ba-KHam rahguzar kar rahi hai ishaare ki aao idhar
kaun manzil ka kis ko batae pata wo bhi KHamosh hain main bhi KHamosh hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.