hua hai dil ka taqaza
huā hai dil kā taqāzā ki ek na.at kahūñ
maiñ apne zaḳhm ke gulshan se taaza phuul chunūñ
phir un pe shabnam-e-ashk-e-sahar-gahī chhiḌkūñ
phir un se sheroñ kī laḌiyāñ piro ke nazr karūñ
maiñ ek na.at kahūñ sochtā huuñ kaise kahūñ
maiñ terah sadiyoñ kī duurī pe huuñ khaḌā hairāñ
ye ek TuuTā huā dil ye dīda-e-giryāñ
ye munfa.il se irāde ye muzmahil īmāñ
ye apnī nisbat-e-ālī ye qismat-e-vāzhūñ
maiñ ek na.at kahūñ sochtā huuñ kaise kahūñ
ye tere ishq ke da.ave ye jazba-e-bīmār
ye apnī garmī-e-guftār dastī-e-kirdār
ravāñ zabānoñ pe ash.ār kho ga.ī talvār
hasīn lafzoñ kā ambār uḌ gayā mazmūñ
maiñ ek na.at kahūñ sochtā huuñ kaise kahūñ
pahan ke taaj bhī ġhairoñ ke ham ġhulām rahe
falak pe uḌ ke bhī shāhīn asīr-e-dām rahe
bane the saaqī magar phir shikasta jaam rahe
na kārsāz ḳhirad hai na hashr-ḳhez junūñ
maiñ ek na.at kahūñ sochtā huuñ kaise kahūñ
yahāñ kahāñ se mujhe rif.at-e-ḳhayāl mile
kahāñ se sher ko iḳhlās kā jamāl mile
kahāñ se qaal ko gum-gashta rang-e-hāl mile
huzūr ek hī misrā ye ho sakā mauzūñ
maiñ ek na.at kahūñ sochtā huuñ kaise kahūñ
hua hai dil ka taqaza ki ek nat kahun
main apne zaKHm ke gulshan se taza phul chunun
phir un pe shabnam-e-ashk-e-sahar-gahi chhiDkun
phir un se sheron ki laDiyan piro ke nazr karun
main ek nat kahun sochta hun kaise kahun
main terah sadiyon ki duri pe hun khaDa hairan
ye ek TuTa hua dil ye dida-e-giryan
ye munfail se irade ye muzmahil iman
ye apni nisbat-e-ali ye qismat-e-wazhun
main ek nat kahun sochta hun kaise kahun
ye tere ishq ke dawe ye jazba-e-bimar
ye apni garmi-e-guftar dasti-e-kirdar
rawan zabanon pe ashaar kho gai talwar
hasin lafzon ka ambar uD gaya mazmun
main ek nat kahun sochta hun kaise kahun
pahan ke taj bhi ghairon ke hum ghulam rahe
falak pe uD ke bhi shahin asir-e-dam rahe
bane the saqi magar phir shikasta jam rahe
na karsaz KHirad hai na hashr-KHez junun
main ek nat kahun sochta hun kaise kahun
yahan kahan se mujhe rifat-e-KHayal mile
kahan se sher ko iKHlas ka jamal mile
kahan se qal ko gum-gashta rang-e-haal mile
huzur ek hi misra ye ho saka mauzun
main ek nat kahun sochta hun kaise kahun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.