hubb-e-watan
ai āftāb-e-hubb-e-vatan tū kidhar hai aaj
tū hai kidhar ki kuchh nahīñ aatā nazar hai aaj
tujh bin jahāñ hai āñkhoñ meñ andher ho rahā
aur intizām-e-dil hai zabar zer ho rahā
ThanDe haiñ kyuuñ diloñ meñ tire josh ho ga.e
kyuuñ sab tire charāġh haiñ ḳhāmosh ho ga.e
hubb-e-vatan kī jins kā hai qaht-sāl kyuuñ
hairāñ huuñ āj-kal hai paḌā us kā kaal kyuuñ
kuchh ho gayā zamāna kā ulTā chalan yahāñ
hubb-e-vatan ke badle hai buġhz-e-vatan yahāñ
bin tere mulk-e-hind ke ghar be-charāġh haiñ
jalte evaz charāġhoñ ke sīnoñ meñ daaġh haiñ
kab tak shab-e-siyāh meñ aalam tabāh ho
ai āftāb idhar bhī karam kī nigāh ho
aalam se tā ki tīra-dilī duur ho tamām
aur hind tere nuur se ma.amūr ho mudām
ulfat se garm sab ke dil-e-sard hoñ baham
aur jo ki ham-vatan hoñ vo hamdard hoñ baham
tā ho vatan meñ apne zar-o-māl kā vafūr
aur mumlikat meñ daulat-o-iqbāl kā vafūr
sab apne hākimoñ ke liye jāñ-nisār huuñ
aur gardan-e-harīf pe ḳhanjar kī dhaar hoñ
ilm-o-hunar se ḳhalq ko raunaq diyā kareñ
aur anjuman meñ baiTh ke jalse kiyā kareñ
labrez-e-josh-e-hubb-e-vatan sab ke jaam hoñ
sarshār-e-zauq-o-shauq dil-e-ḳhās-o-ām hoñ
ai aaftab-e-hubb-e-watan tu kidhar hai aaj
tu hai kidhar ki kuchh nahin aata nazar hai aaj
tujh bin jahan hai aankhon mein andher ho raha
aur intizam-e-dil hai zabar zer ho raha
ThanDe hain kyun dilon mein tere josh ho gae
kyun sab tere charagh hain KHamosh ho gae
hubb-e-watan ki jins ka hai qaht-sal kyun
hairan hun aaj-kal hai paDa us ka kal kyun
kuchh ho gaya zamana ka ulTa chalan yahan
hubb-e-watan ke badle hai bughz-e-watan yahan
bin tere mulk-e-hind ke ghar be-charagh hain
jalte ewaz charaghon ke sinon mein dagh hain
kab tak shab-e-siyah mein aalam tabah ho
ai aaftab idhar bhi karam ki nigah ho
aalam se ta ki tira-dili dur ho tamam
aur hind tere nur se mamur ho mudam
ulfat se garm sab ke dil-e-sard hon baham
aur jo ki ham-watan hon wo hamdard hon baham
ta ho watan mein apne zar-o-mal ka wafur
aur mumlikat mein daulat-o-iqbaal ka wafur
sab apne hakimon ke liye jaan-nisar hun
aur gardan-e-harif pe KHanjar ki dhaar hon
ilm-o-hunar se KHalq ko raunaq diya karen
aur anjuman mein baiTh ke jalse kiya karen
labrez-e-josh-e-hubb-e-watan sab ke jam hon
sarshaar-e-zauq-o-shauq dil-e-KHas-o-am hon
- Nawa-e-Azadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.