hubb-e-watan
jo sāhib-e-fan mulk ko kartā nahīñ bedār
madqūq hai fan us kā vo fankār hai bekār
ai ahl-e-suḳhan mulk kā bhī aap pe haq hai
maanā ki dil-āvez haiñ gesū-o-lab-e-yār
lenā hai jo ab kaam shakar-rez qalam se
tausīf-e-ḳham-e-abru-e-jānāñ se hai dushvār
har samt se yalġhār-e-havādis hai vatan par
ham apnī hī aġhrāz meñ lekin haiñ giraftār
ġhairat kā taqāzā hai ki sar un ke kuchal deñ
rakhte haiñ nazar mulk kī sarhad pe jo aġhyār
is vaqt bhī jo kaam na aa.egā vatan ke
ġhaddār hai mardūd hai vo mard-e-siyahkār
dushman ke jo hāthoñ meñ vatan bechnā chāheñ
aise bhī haiñ maujūd vatan meñ ka.ī ġhaddār
ham logoñ ko aapas meñ laḌāte haiñ jo paiham
lāzim hai ki ham log raheñ un se ḳhabar-dār
marte haiñ jo ab naam pe maz.hab ke zabāñ ke
behtar hai ki vo mulk pe marne ko hoñ tayyār
ik vo haiñ jo karte haiñ mah-o-mehr ko tasḳhīr
ik ham haiñ ki rahte haiñ faqat barsar-e-paikār
ta.amīr kā ab in se nikāleñ koī pahlū
taḳhrīb ke go ham ko nazar aate haiñ āsār
ham azmat-e-aslāf ko kyoñ bhuul ga.e haiñ
ham meñ na vo ġhairat na hamiyyat na vo īsār
maġhrib ko bhī miltā thā kabhī faiz yahāñ se
bhārat thā zamāne meñ kabhī matla-e-anvār
aa.egī bahār apne ḳhizāñ-dīda vatan meñ
bigḌe hue hālāt se ai dil na ho bezār
mauzū-e-suḳhan hubb-e-vatan ham ne banāyā
kuchh ġham nahīñ is jins ke kam haiñ jo ḳharīdār
kirdār pe mauqūf hai qaumoñ kī taraqqī
kartā hai 'bahār' aaj tumheñ mahram-e-asrār
jo sahib-e-fan mulk ko karta nahin bedar
madquq hai fan us ka wo fankar hai bekar
ai ahl-e-suKHan mulk ka bhi aap pe haq hai
mana ki dil-awez hain gesu-o-lab-e-yar
lena hai jo ab kaam shakar-rez qalam se
tausif-e-KHam-e-abru-e-jaanan se hai dushwar
har samt se yalghaar-e-hawadis hai watan par
hum apni hi aghraaz mein lekin hain giraftar
ghairat ka taqaza hai ki sar un ke kuchal den
rakhte hain nazar mulk ki sarhad pe jo aghyar
is waqt bhi jo kaam na aaega watan ke
ghaddar hai mardud hai wo mard-e-siyahkar
dushman ke jo hathon mein watan bechna chahen
aise bhi hain maujud watan mein kai ghaddar
hum logon ko aapas mein laDate hain jo paiham
lazim hai ki hum log rahen un se KHabar-dar
marte hain jo ab nam pe mazhab ke zaban ke
behtar hai ki wo mulk pe marne ko hon tayyar
ek wo hain jo karte hain mah-o-mehr ko tasKHir
ek hum hain ki rahte hain faqat barsar-e-paikar
tamir ka ab in se nikalen koi pahlu
taKHrib ke go hum ko nazar aate hain aasar
hum azmat-e-aslaf ko kyon bhul gae hain
hum mein na wo ghairat na hamiyyat na wo isar
maghrib ko bhi milta tha kabhi faiz yahan se
bhaarat tha zamane mein kabhi matla-e-anwar
aaegi bahaar apne KHizan-dida watan mein
bigDe hue haalat se ai dil na ho bezar
mauzu-e-suKHan hubb-e-watan hum ne banaya
kuchh gham nahin is jins ke kam hain jo KHaridar
kirdar pe mauquf hai qaumon ki taraqqi
karta hai 'bahaar' aaj tumhein mahram-e-asrar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.