hudud ka daera
shajar hajar huuñ ki insāñ huuñ yā sitāre huuñ
sabhī hudūd ke ik dā.ere meñ rahte haiñ
ye kā.enāt zamān o makāñ kī qaid meñ hai
har ek shai hai uruuj o zavāl kī pāband
har ek manzil-e-āḳhir hai manzil-e-avval
jahāñ se ik na.ī manzil kī justujū meñ sabhī
haqīqatoñ ko taḳhayyul kā rañg dete haiñ
safar meñ ruk nahīñ sakte qadam musāfir ke
zamīñ bhī ghūmtī hai rāste bhī chalte haiñ
har ik ufuq pe zamīñ āsmāñ se miltī hai
ghaḌī chale na chale vaqt to guzartā hai
shajar hajar hun ki insan hun ya sitare hun
sabhi hudud ke ek daere mein rahte hain
ye kaenat zaman o makan ki qaid mein hai
har ek shai hai uruj o zawal ki paband
har ek manzil-e-aKHir hai manzil-e-awwal
jahan se ek nai manzil ki justuju mein sabhi
haqiqaton ko taKHayyul ka rang dete hain
safar mein ruk nahin sakte qadam musafir ke
zamin bhi ghumti hai raste bhi chalte hain
har ek ufuq pe zamin aasman se milti hai
ghaDi chale na chale waqt to guzarta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.