hujum-e-tajalli agar dekhne de
zarā jalva-e-kaif-asar dekhne de
uThā de naqāb ik nazar dekhne de
mirā zauq-e-dil dekh kar dekhne de
dikhā jalva apnā pata pā rahā huuñ
uThā parda phir hosh meñ aa rahā huuñ
zarā be-ḳhudī kā asar dekhne de
na chhup tū dikhā kar jhalak ik zarā sī
mirā dil bhī pyāsā hai āñkheñ bhī pyāsī
nazar bhar kar ai jalva-gar dekhne de
rahe laakh pardoñ meñ pahchāntā huuñ
maiñ roz-e-azal se tujhe jāntā huuñ
hijāb-e-nazar duur kar dekhne de
tasavvur ko husn-e-haqīqat banā de
tasavvur hī meñ rū-e-anvar dikhā de
mujhe aaj tāb-e-nazar dekhne de
maiñ is ke sivā aur kyā chāhtā huuñ
tujhe umr bhar dekhnā chāhtā huuñ
hujūm-e-tajallī agar dekhne de
zara jalwa-e-kaif-asar dekhne de
uTha de naqab ek nazar dekhne de
mera zauq-e-dil dekh kar dekhne de
dikha jalwa apna pata pa raha hun
uTha parda phir hosh mein aa raha hun
zara be-KHudi ka asar dekhne de
na chhup tu dikha kar jhalak ek zara si
mera dil bhi pyasa hai aankhen bhi pyasi
nazar bhar kar ai jalwa-gar dekhne de
rahe lakh pardon mein pahchanta hun
main roz-e-azal se tujhe jaanta hun
hijab-e-nazar dur kar dekhne de
tasawwur ko husn-e-haqiqat bana de
tasawwur hi mein ru-e-anwar dikha de
mujhe aaj tab-e-nazar dekhne de
main is ke siwa aur kya chahta hun
tujhe umr bhar dekhna chahta hun
hujum-e-tajalli agar dekhne de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.