hujum haT nahin raha
hujūm jis kī Thokaroñ kī zarb se
havā meñ hāñptā huā ġhubār chhaT nahīñ rahā
ġhubār meñ jo ḳhaak hai zamīn se uḌī hai yā
kisī ke sard jism se ḳhabar nahīñ
ḳhabar bhī ho to kyā bigāḌ le koī
hujūm haT nahīñ rahā
abad kī shāḳh-e-sabz par khilā huā
shabāb kā gulāb pattiyoñ meñ baT nahīñ rahā
hujūm be-sukūn hai savāl mar nahīñ rahā
savāl kā zabān se juḌā huā jo taar hai
vo taar kaT nahīñ rahā
hujūm haT nahīñ rahā
vo mar gayā
hujūm us kī maañ kī bad-du'ā se Dar nahīñ rahā
hujūm use chaTaḳhtī pasliyoñ ke bal ghasīTtā chalā gayā
kisī ne us ke zaḳhm ko luaab kā kafan diyā
koī badan ko lāThiyoñ se pīTtā chalā gayā
qarīb chand log 'aks-band kar rahe haiñ
cameroñ meñ aise khel ko
ki jis meñ sab khilāḌiyoñ kī āstīñ pe ḳhuun hai
hujūm ko junūn hai hujūm haT nahīñ rahā
maiñ muntazir huuñ ik taraf
mire aqab meñ chup khaḌī hai ik muhāfizoñ kī saf
hujūm haT nahīñ rahā
hujūm se kaho haTe ġhubār jaane kab chhaTe
maiñ us ke dard se bhiñche shikasta haath kī giraft se
zarā sī nazm khīñch luuñ
muhāfizoñ kā tarjumāñ du'ā-e-ḳhair meñ magan
nahīñ nahīñ vo pahle se raTā huā bayān raT nahīñ rahā
mashāl ḳhaan ḳhair ho
tamāshā-gāh se to rā.egāñ palaT nahīñ rahā
hujūm haT nahīñ rahā
hujum jis ki Thokaron ki zarb se
hawa mein hanpta hua ghubar chhaT nahin raha
ghubar mein jo KHak hai zamin se uDi hai ya
kisi ke sard jism se KHabar nahin
KHabar bhi ho to kya bigaD le koi
hujum haT nahin raha
abad ki shaKH-e-sabz par khila hua
shabab ka gulab pattiyon mein baT nahin raha
hujum be-sukun hai sawal mar nahin raha
sawal ka zaban se juDa hua jo tar hai
wo tar kaT nahin raha
hujum haT nahin raha
wo mar gaya
hujum us ki man ki bad-du'a se Dar nahin raha
hujum use chaTaKHti pasliyon ke bal ghasiTta chala gaya
kisi ne us ke zaKHm ko luab ka kafan diya
koi badan ko laThiyon se piTta chala gaya
qarib chand log 'aks-band kar rahe hain
cameron mein aise khel ko
ki jis mein sab khilaDiyon ki aastin pe KHun hai
hujum ko junun hai hujum haT nahin raha
main muntazir hun ek taraf
mere aqab mein chup khaDi hai ek muhafizon ki saf
hujum haT nahin raha
hujum se kaho haTe ghubar jaane kab chhaTe
main us ke dard se bhinche shikasta hath ki giraft se
zara si nazm khinch lun
muhafizon ka tarjuman du'a-e-KHair mein magan
nahin nahin wo pahle se raTa hua bayan raT nahin raha
mashaal KHan KHair ho
tamasha-gah se to raegan palaT nahin raha
hujum haT nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.