hujum mein tanhai
saḳht hairat hai ye kis bazm meñ baiThā huuñ maiñ
ahl-e-mahfil ko baḌe ġhaur se taktā huuñ maiñ
ek sūrat nazar aatī nahīñ dekhī-bhālī
kaun se log haiñ ye jin meñ ki tanhā huuñ maiñ
bekasī par mirī rotī hai mirī tanhā.ī
sifat-e-sham.a jab is bazm meñ jaltā huuñ maiñ
ham-zabāñ hai na koī aur na koī hamrāz
dāstāñ apnī havāoñ ko sunātā huuñ maiñ
pheñk detā huuñ fazāoñ meñ navā.eñ dil kī
apnā dam-sāz kisī ko nahīñ paatā huuñ maiñ
aah duniyā tirī vus.at meñ ye kyā hai ki koī
na to merā hai shanāsā na kisī kā huuñ maiñ
koī dil-soz nahīñ dahr meñ is dil ke sivā
aur is dil se bhī kam-baḳht bhaḌaktā huuñ maiñ
kuchh ajab haal hai āshufta-mizājī kā mirī
kabhī ro detā huuñ maiñ to kabhī hañstā huuñ maiñ
ruuh ghuTtī hai jo is tang qafas meñ merī
sifat-e-murġh-e-giraftār phaḌaktā huuñ maiñ
barq kī lahr sī hai har rag-o-pai meñ saarī
hama-tan nabz kī mānind taḌaptā huuñ maiñ
dil dhaḌaktā hai to kānoñ meñ ye aatī hai sadā
rahm ai shiddat-e-ehsās ki phaTtā huuñ maiñ
kabhī taskīñ ke liye hai gul-o-gulshan kī talāsh
kabhī vahshat meñ sū-e-dasht lapaktā huuñ maiñ
koī dekhe mirī us vaqt kī shorīda-sarī
dar-o-dīvār se jab sar ko paTaktā huuñ maiñ
dil-e-hassās bhī kyā chiiz hai allāh allāh
jab kalī koī chaTaktī hai dahaltā huuñ maiñ
saañs letā huuñ to andar se nikaltā hai dhuāñ
kaun sī aag hai ye jis meñ ki jaltā huuñ maiñ
raakh kar dī tapish-e-ishq ne saarī hastī
ek sho.ala kī tarah phir bhī lapaktā huuñ maiñ
kisī karvaT kisī pahlū nahīñ ārām mujhe
kaun sā dard hai ye jis se taḌaptā huuñ maiñ
chain aatā nahīñ ik dam bhī jo is dil ko 'jalīl'
kis ko is paap kī bastī meñ bhaTaktā huuñ maiñ
saKHt hairat hai ye kis bazm mein baiTha hun main
ahl-e-mahfil ko baDe ghaur se takta hun main
ek surat nazar aati nahin dekhi-bhaali
kaun se log hain ye jin mein ki tanha hun main
bekasi par meri roti hai meri tanhai
sifat-e-shama jab is bazm mein jalta hun main
ham-zaban hai na koi aur na koi hamraaz
dastan apni hawaon ko sunata hun main
phenk deta hun fazaon mein nawaen dil ki
apna dam-saz kisi ko nahin pata hun main
aah duniya teri wusat mein ye kya hai ki koi
na to mera hai shanasa na kisi ka hun main
koi dil-soz nahin dahr mein is dil ke siwa
aur is dil se bhi kam-baKHt bhaDakta hun main
kuchh ajab haal hai aashufta-mizaji ka meri
kabhi ro deta hun main to kabhi hansta hun main
ruh ghuTti hai jo is tang qafas mein meri
sifat-e-murgh-e-giraftar phaDakta hun main
barq ki lahr si hai har rag-o-pai mein sari
hama-tan nabz ki manind taDapta hun main
dil dhaDakta hai to kanon mein ye aati hai sada
rahm ai shiddat-e-ehsas ki phaTta hun main
kabhi taskin ke liye hai gul-o-gulshan ki talash
kabhi wahshat mein su-e-dasht lapakta hun main
koi dekhe meri us waqt ki shorida-sari
dar-o-diwar se jab sar ko paTakta hun main
dil-e-hassas bhi kya chiz hai allah allah
jab kali koi chaTakti hai dahalta hun main
sans leta hun to andar se nikalta hai dhuan
kaun si aag hai ye jis mein ki jalta hun main
rakh kar di tapish-e-ishq ne sari hasti
ek shoala ki tarah phir bhi lapakta hun main
kisi karwaT kisi pahlu nahin aaram mujhe
kaun sa dard hai ye jis se taDapta hun main
chain aata nahin ek dam bhi jo is dil ko 'jalil'
kis ko is pap ki basti mein bhaTakta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.