husain! tumi kothae
khañDar sā shahr
ghup tārīk rātoñ meñ
husain-ibn-e-alī kī yaad meñ mātam-kunāñ
ro-ro ke kahtā hai
husain! tuumī kothā.e?
mahābt-e-jañg kī ye sarzamīñ
murshid kī ye bastī
tarastī hai sirāj-uddolā ko har-pal
masājid meñ namāzī chiḌiyāñ pābandī se aatī haiñ
shikasta haiñ bhī to īmāñ kā mehrāboñ se kyā matlab
aqīdoñ ko hai mimbar kyā
ab in vīrān tāqoñ meñ diyoñ kī kaun sochegā
chalo, lañgar uThāo
kuuch karnā hai udhar ko ab
jahāñ koī añdhere meñ yūñhī mātam-kunāñ hogā
na jaane kab gireñ lāsheñ
luTe ḳheme
uḌī chādar
na jaane kab kisī ne rakh diye hathiyār
kis ne zid meñ de dī jaañ
ye nauhe phir kisī din ke liye rakh do
ki tārīḳheñ rulātī haiñ
chalo paaT aa.eñ ḳhandaq
moḌ deñ topeñ
uThā kar pheñk deñ jins-e-tijārat gahre paanī meñ
vo sharteñ aaj manvāleñ
kabhī jin par siyāhī pher dī thī mīr-'ja.afar' ne
khanDar sa shahr
ghup tarik raaton mein
husain-ibn-e-ali ki yaad mein matam-kunan
ro-ro ke kahta hai
husain! tumi kothae?
mahabt-e-jang ki ye sarzamin
murshid ki ye basti
tarasti hai siraj-uddola ko har-pal
masajid mein namazi chiDiyan pabandi se aati hain
shikasta hain bhi to iman ka mehrabon se kya matlab
aqidon ko hai mimbar kya
ab in viran taqon mein diyon ki kaun sochega
chalo, langar uThao
kuch karna hai udhar ko ab
jahan koi andhere mein yunhi matam-kunan hoga
na jaane kab giren lashen
luTe KHeme
uDi chadar
na jaane kab kisi ne rakh diye hathiyar
kis ne zid mein de di jaan
ye nauhe phir kisi din ke liye rakh do
ki tariKHen rulati hain
chalo paT aaen KHandaq
moD den topen
uTha kar phenk den jins-e-tijarat gahre pani mein
wo sharten aaj manwalen
kabhi jin par siyahi pher di thi mir-'jafar' ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.