husn
duniyā meñ kyā nahīñ hasīñ
be-husn koī shai nahīñ
husn hai lāla-zār meñ
kaifiyat-e-bahār meñ
sīna-e-dāġh-dār meñ
nargis-e-sogvār meñ
sabza-e-jūebār meñ
mausam-e-ḳhush-gavār meñ
vādī-o-kohsār meñ
jalva-e-husn hai nihāñ
jalva-e-husn hai nihāñ
shorish-e-ābshār meñ
nāz-o-adā meñ husn hai
sharm-o-hayā meñ husn hai
chashm-e-vafā meñ husn hai
tarz-e-jafā meñ husn hai
rang-e-hinā meñ husn hai
laġhzish-e-pā meñ husn hai
nai kī sadā meñ husn hai
husn hai soz-o-sāz meñ
husn hai soz-o-sāz meñ
tarz-e-duā meñ husn hai
husn nihāñ sahāb meñ
zarra-o-āftāb meñ
maujoñ ke pech-o-tāb meñ
jalva-e-māhtāb meñ
sailī-zada sarāb meñ
qumquma-e-hubāb meñ
bahr ke iztirāb meñ
sail-e-ravāñ meñ husn hai
sail-e-ravāñ meñ husn hai
husn guhar ke aab meñ
husn sabā ke ram meñ hai
taal meñ zer-o-bam meñ hai
kaifiyat-e-alam meñ hai
sham.a ke soz-e-ġham meñ hai
but-kada-e-sanam meñ hai
sāqī-o-jām-e-jam meñ hai
jor meñ sitam meñ hai
ranj-o-mehan meñ husn hai
ranj-o-mehan meñ husn hai
lutf meñ hai karam meñ hai
husn sar-e-niyāz meñ
sajda-gah-e-namāz meñ
dīda-e-nīm-bāz meñ
chashm-e-fusūñ-tarāz meñ
chehra-e-dil-navāz meñ
silsila-e-darāz meñ
husn sukūt-e-sāz meñ
kaif-e-tapish meñ husn hai
kaif-e-tapish meñ husn hai
husn shahīd-e-nāz meñ
duniya mein kya nahin hasin
be-husn koi shai nahin
husn hai lala-zar mein
kaifiyat-e-bahaar mein
sina-e-dagh-dar mein
nargis-e-sogwar mein
sabza-e-juebar mein
mausam-e-KHush-gawar mein
wadi-o-kohsar mein
jalwa-e-husn hai nihan
jalwa-e-husn hai nihan
shorish-e-abshaar mein
naz-o-ada mein husn hai
sharm-o-haya mein husn hai
chashm-e-wafa mein husn hai
tarz-e-jafa mein husn hai
rang-e-hina mein husn hai
laghzish-e-pa mein husn hai
nai ki sada mein husn hai
husn hai soz-o-saz mein
husn hai soz-o-saz mein
tarz-e-dua mein husn hai
husn nihan sahab mein
zarra-o-aftab mein
maujon ke pech-o-tab mein
jalwa-e-mahtab mein
saili-zada sarab mein
qumquma-e-hubab mein
bahr ke iztirab mein
sail-e-rawan mein husn hai
sail-e-rawan mein husn hai
husn guhar ke aab mein
husn saba ke ram mein hai
tal mein zer-o-bam mein hai
kaifiyat-e-alam mein hai
shama ke soz-e-gham mein hai
but-kada-e-sanam mein hai
saqi-o-jam-e-jam mein hai
jor mein sitam mein hai
ranj-o-mehan mein husn hai
ranj-o-mehan mein husn hai
lutf mein hai karam mein hai
husn sar-e-niyaz mein
sajda-gah-e-namaz mein
dida-e-nim-baz mein
chashm-e-fusun-taraaz mein
chehra-e-dil-nawaz mein
silsila-e-daraaz mein
husn sukut-e-saz mein
kaif-e-tapish mein husn hai
kaif-e-tapish mein husn hai
husn shahid-e-naz mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.