husn-e-bimar
kyā ġhazab hai husn ke bīmār hone kī sadā
jaise kachchī niind se bedār hone kī adā
inkisār-e-husn palkoñ ke jhapakne meñ nihāñ
nīm-vā bīmār āñkhoñ se muravvat sī ayaañ
jumbish-e-mizhgāñ meñ ġhaltāñ sāz-e-ġham kā zer o bam
ḳhāmushī meñ par-fishāñ īfā-e-paimāñ kī qasam
ehtirām-e-ishq kī rau dil-nashīñ āvāz meñ
ek phīke-pan kā sannāTā dayār-e-nāz meñ
al-amāñ āñkhoñ kī nīm-afsurda sī afsūñ-garī
ek dhundlā sā tabassum ik thakī sī dilbarī
chūḌiyāñ Dhīlī dilā.ī par shikan māthe pe haat
lab pe ḳhushkī ruḳh pe sūñdhā-pan nazar meñ iltifāt
halkī halkī jhalkiyāñ ruḳhsār par yuuñ nuur kī
jaise gul par sub.h-e-kāzib kī suhānī chāñdnī
le rahā hai karvaTeñ aariz meñ yuuñ rañg-e-shabāb
jis tarah mauj-e-ḳhirāmāñ par ziyā-e-māhtāb
husn yuuñ khoyā huā sā bazm-e-mahsūsāt meñ
jaise donoñ vaqt milte huuñ bharī barsāt meñ
yuuñ hai ik raushan namī sī chashm-e-sehar-andāz meñ
sub.h ko shabnam ho jaise ma.ariz-e-parvāz meñ
jaise kohre meñ koī tābinda manzar duur kā
jaise pichhlī raat ke siine pe Dorā nuur kā
aise izmehlāl par duniyā kī barnā.ī nisār
aisī bīmārī par ejāz-e-masīhā.ī nisār
kya ghazab hai husn ke bimar hone ki sada
jaise kachchi nind se bedar hone ki ada
inkisar-e-husn palkon ke jhapakne mein nihan
nim-wa bimar aankhon se murawwat si ayan
jumbish-e-mizhgan mein ghaltan saz-e-gham ka zer o bam
KHamushi mein par-fishan ifa-e-paiman ki qasam
ehtiram-e-ishq ki rau dil-nashin aawaz mein
ek phike-pan ka sannaTa dayar-e-naz mein
al-aman aankhon ki nim-afsurda si afsun-gari
ek dhundla sa tabassum ek thaki si dilbari
chuDiyan Dhili dilai par shikan mathe pe hat
lab pe KHushki ruKH pe sundha-pan nazar mein iltifat
halki halki jhalkiyan ruKHsar par yun nur ki
jaise gul par subh-e-kazib ki suhani chandni
le raha hai karwaTen aariz mein yun rang-e-shabab
jis tarah mauj-e-KHiraman par ziya-e-mahtab
husn yun khoya hua sa bazm-e-mahsusat mein
jaise donon waqt milte hun bhari barsat mein
yun hai ek raushan nami si chashm-e-sehar-andaz mein
subh ko shabnam ho jaise mariz-e-parwaz mein
jaise kohre mein koi tabinda manzar dur ka
jaise pichhli raat ke sine pe Dora nur ka
aise izmehlal par duniya ki barnai nisar
aisi bimari par ejaz-e-masihai nisar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.