Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

husn

MORE BYSahba lakhnavi

    is husn ko ab kījiye kis husn se ta.abīr

    ye husn nazar-pāsh hai aks-e-taḳhayyul

    ye nīm-nigāhī hai ki jalvoñ tasalsul

    ye husn-e-tarannum hai tabassum hai ki tūfān

    jalva-e-shādāb hijāboñ meñ numāyāñ

    ye husn hāsil hai ki jalvoñ taqāzā

    dāmān-e-nazar parda-e-mahmil hai sarāpā

    ye jalvā-e-be-tāb hai barq-e-sharar-ḳhez

    jām-e-mohabbat hai ki jazbāt se labrez

    nazzāra-e-gul-rang hai paimāna-e-rāhat

    aks-e-nazar-afroz hai ā.īna-e-fitrat

    ik paikar-e-hairat hai ki ik sehr tasvīr

    dāmān-e-fazā par hai ḳhayālāt tahrīr

    taslīm hai ki mā.igī-e-nutq taqsīr

    is husn ko ab kijiye kis husn se tabir

    ye husn nazar-pash hai ya aks-e-taKHayyul

    ye nim-nigahi hai ki jalwon ka tasalsul

    ye husn-e-tarannum hai tabassum hai ki tufan

    ya jalwa-e-shadab hijabon mein numayan

    ye husn ka hasil hai ki jalwon ka taqaza

    daman-e-nazar parda-e-mahmil hai sarapa

    ye jalwa-e-be-tab hai ya barq-e-sharar-KHez

    ya jam-e-mohabbat hai ki jazbaat se labrez

    nazzara-e-gul-rang hai paimana-e-rahat

    aks-e-nazar-afroz hai aaina-e-fitrat

    ek paikar-e-hairat hai ki ek sehr ki taswir

    daman-e-faza par hai KHayalat ki tahrir

    taslim hai ki maigi-e-nutq ki taqsir

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now