husn-o-ishq
mujh se mat pūchh ''mire husn meñ kyā rakkhā hai''
aañkh se parda-e-zulmāt uThā rakkhā hai
merī duniyā ki mire ġham se jahannam-bar-dosh
tū ne duniyā ko bhī firdaus banā rakkhā hai
mujh se mat pūchh ''tire ishq meñ kyā rakkhā hai''
soz ko saaz ke parde meñ chhupā rakkhā hai
jagmagā uThtī hai duniyā-e-taḳhayyul jis se
dil meñ vo shola-e-jāñ-sāz dabā rakkhā hai
mujh se mat puchh mire husn mein kya rakkha hai
aankh se parda-e-zulmat uTha rakkha hai
meri duniya ki mere gham se jahannam-bar-dosh
tu ne duniya ko bhi firdaus bana rakkha hai
mujh se mat puchh tire ishq mein kya rakkha hai
soz ko saz ke parde mein chhupa rakkha hai
jagmaga uThti hai duniya-e-taKHayyul jis se
dil mein wo shola-e-jaan-saz daba rakkha hai
- Book : Aahang (Pg. 138)
- Author : Asrar-ul-Haq Majaz
- Publication : National Council for Promotion of Urdu Language, Delhi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.