huwash-shafi
agar kabhī ye gumān guzrā
ki zindagī talḳh ho rahī hai
to is masīhā-nafas ko DhūñDā
jo is maraz kā tabīb hāziq hai
jis ke shīrīñ laboñ meñ
namkīn ārizoñ meñ
ġhazāl āñkhoñ kī gahrī jhīloñ meñ
āb-e-haivāñ chhalak rahā hai
jo merī tanhā.ī kā mudāvā
mire maraz ke liye davā hai
ki sharbat-e-dīd hī to
in talḳh-kāmiyoñ ke liye shifā hai
agar kabhi ye guman guzra
ki zindagi talKH ho rahi hai
to is masiha-nafas ko DhunDa
jo is maraz ka tabib haziq hai
jis ke shirin labon mein
namkin aarizon mein
ghazal aankhon ki gahri jhilon mein
aab-e-haiwan chhalak raha hai
jo meri tanhai ka mudawa
mere maraz ke liye dawa hai
ki sharbat-e-did hi to
in talKH-kaamiyon ke liye shifa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.