huzn
jise tum huzn kahte ho
kabhī us meñ Duub kar
us kī sohbat aur āshnā.iyoñ
se ham-kanār hue ho
huzn hameñ ḳhushiyoñ se duur
us duniyā meñ le jaatā hai
jo sirf masarratoñ ke ruuTh jaane se miltī hai
vo masarratoñ kī tarah
arzāñ nahīñ
na ye huzn jagah jagah
bikhrā huā hai
ye ek kaifiyat hai
jo tere mere dil ke nihāñ-ḳhānoñ
meñ poshīda rahtī hai
us kī sarshārī meñ Dūbne kā
lamha bhī ajiib hotā hai
ye jānte hue bhī
ki use kisī alamiye ne
janm diyā hai
ham use apne hī lahū se
sīñchte rahte haiñ
giraftār-e-huzn kī kaifiyat
bhī ajiib hai
ḳhushiyoñ kā armāñ liye hue
bhī insān
huzn kī siyāh aur ThanDī bārishoñ meñ
der tak ḳhud ko bhigonā
chāhtā hai
jise tum huzn kahte ho
kabhi us mein Dub kar
us ki sohbat aur aashnaiyon
se ham-kanar hue ho
huzn hamein KHushiyon se dur
us duniya mein le jata hai
jo sirf masarraton ke ruTh jaane se milti hai
wo masarraton ki tarah
arzan nahin
na ye huzn jagah jagah
bikhra hua hai
ye ek kaifiyat hai
jo tere mere dil ke nihan-KHanon
mein poshida rahti hai
us ki sarshaari mein Dubne ka
lamha bhi ajib hota hai
ye jaante hue bhi
ki use kisi alamiye ne
janm diya hai
hum use apne hi lahu se
sinchte rahte hain
giraftar-e-huzn ki kaifiyat
bhi ajib hai
KHushiyon ka arman liye hue
bhi insan
huzn ki siyah aur ThanDi barishon mein
der tak KHud ko bhigona
chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.