Hyderabad
Interesting Fact
Published monthly "Sab Ras" Hyderabad 1970
Hyderabad dil kī sūrat hai
dil dhaḌaktā hai saañs chaltī hai
aarzū zindagī kī paltī hai
Hyderabad ik mohabbat hai
Hyderabad hai qulī kā dil
jis meñ miltā hai husn-e-bhāg-matī
aur is sahr-e-sher-o-naġhma kī
zindagī hai ki pyaar kī sil
qibla-e-dil kahūñgā maiñ is ko
Hyderabad hai vatan merā
rashk-e-jannat hai ye chaman merā
ye nahīñ hai to kyā hai tum hī kaho
zaḳhm ulfat kā bhar nahīñ saktā
Hyderabad mar nahīñ saktā
Hyderabad dil ki surat hai
dil dhaDakta hai sans chalti hai
aarzu zindagi ki palti hai
Hyderabad ek mohabbat hai
Hyderabad hai quli ka dil
jis mein milta hai husn-e-bhag-mati
aur is sahr-e-sher-o-naghma ki
zindagi hai ki pyar ki sil
qibla-e-dil kahunga main is ko
Hyderabad hai watan mera
rashk-e-jannat hai ye chaman mera
ye nahin hai to kya hai tum hi kaho
zaKHm ulfat ka bhar nahin sakta
Hyderabad mar nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.